Maut Ko Yaad Karna Ya Khud Ke Marne Ki Dua Karna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Khud Ke Marne Ki Duaa Karna Kesa ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Dunya Guzashtini W Guzaashtini He, Aakhir Ek Din Mout Aani He Jab Yahañ Se Kuch Karna Hi He To Wahañ Ki Tayyari Chahiye Jahañ Hamesha Rahna He Or Us Waqt Ko Har Waqt Peshe Nazar Rakhna Chahiye.

Huzure Aqdas ﷺ Ne Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhu Se Farmaya: Dunya Me Ayse Raho Jaise Musafir Balki Raah Chalta. 
*📚(Sahih Bukhari, Kitabul Raqaaiq, Hadees-6416, J-4, S-223)*

To Musafir Jis Tarah Ek Ajnabi Shakhs Hota He Or Raah Geer Rasta Ke Khel Tamashoñ Me Nahiñ Lagta Ki Raah Khoti Hogi Or Manzile Maqsood Tak Pahunchne Me Nakaami Hogi, Is Tarah Musalman Ko Chahiye Ki Dunya Me Na Phanse Or Na Ayse Ta'alliqat Paida Kare Ki Maqsoode Asli Ke Hasil Karne Me Aar Aayeñ Or Mout Ko Kasrat Se Yaad Kare Ki Uski Yaad Dunyawi Ta'alluqat Ki Beej Kani Karti He..

Hadees Me Irshad Farmaya,
اکثروا ذکر ھاذم اللذات الموت .
Yaani Lazzatoñ Ki Tod Dene Wali Mout Ko Kasrat Se Yaad Karo.
*📚(Jame Ul Tirmizi, Baab Maza Feel Zikril Mout, Hadees-2314, J-4, S-138)*

Magar Kisi Musibat Par Mout Ki Aarzo Na Kare Ki Uski Mumaneat Aai He Or Nachaar Karni Hi He To Yuñ Kahe, Ilahi Mujhe Zimda Rakh Jab Tak Zindagi Mere Liye Khair Ho Or Mout De Jab Mout Mere Liye Bahetar Ho.
کما ھو فی حدیث الصحیحین عن انس رضی اللہ تعالی عنہ
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Mout Aane Ka Bayan)*

Or Farmate Hai,
Marne Ki Aarzu Karna Or Uski Duaa Mangna Makrooh He, Jabki Kisi Dunyavi Taklif Ki Wajah Se Ho, Maslan Tangi Se Basa Awqat Hoti He Ya Dushman Ka Andesha He Maal Jane Ka Khof He Or Agar Ye Bateñ Na Hoñ Balki Logoñ Ki Halateñ Kharab Ho Gai Mo'asiyat Me Mubtala Hai Use Bhi Andesha He Ki Gunah Me Par Jayega To Aarzoo E Mout Makrooh Nahi.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Mutafarriqat, Mas'ala-31)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Maulana Fahim Razvi Mustafai Sahab,*
*_📬Khatibo Imam Noori Masjid Mahudha Gujarat_*
*🗓️1 June 2021, 19 Shawwalul Mukarram 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts