KHANE KI CHIZ SAMNE RAKH KE FATEHA DENA

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum w rahematullahi w barakatuhu
Kya farmate he aulma e kiram is mas'ala me ki mithai ya khana ya koi bhi halal chiz samne rakh ke fateha parh sakte he ?
Hawale ke sath jawab inayat farmae...

*🌹JAWAB:-🌹*

W alaikumassalam w rahematullahi w barakatuhu,,

Khane ki chiz samne rakh kar fateha dena bila subah jaiz or huzur sallallahu alaihi w sallam se sabit he,,
Or kai Hadiso se me bhi maujud he jisme se ek Hadish darze zail he,,

👉🏻HAZRAT ANAS RADIALLAHO TAALA ANHO BAYAN KARTE HAI KI
"NABI KARIM SALALAHO ALAI WASSALAM JANAB ZAINAB SE NIKAH KE NAUSHA THE TO MERI MAA UMME SULAIM NE KHUJUR,GHI,OR PANEER KA HALWA BANAYA OR EK BARTAN ME KARKE MUJHSE KAHA KI
"ANAS ISKO HUZUR KI KHIDMAT ME LE JAO OR ARZ KARO YA RASUL ALLAH SALALAHO ALAI WASSALAM YE MERI MAA NE AAP KI KHIDMAT ME THODASA HADIA BHEJA HAI OR UNHONE AAPKO SALAAM ARZ KIYA HAI"
CHHUNANCHE MAI GAYA OR MAINE YE KAHA
HUZUR NE IRSHAD FARMAYA
"ISSE RAKHDO OR JAO,HUMARE PAS FALA FALA KO BULA LAO"
JISKA HUZUR NE NAAM LIA OR UNHE B JO TUMKO MILE YEHA TAK KI JAB MAI WAPAS LAUTA TO HUZUR KA GHAR BHAR CHHUKA THA.HAZRAT ANAS SE PUCHA GAYA KI KITNI TAADAD THI UNHONE FARMAYA KARIBAN TEEN SAU LOG THE.FIR MAI NE NABI SALALAHO ALAI WASSALAM KO DEKHA AAPNE HALWE PAR HAATH RAKHKAR KUCH PADA JO ALLAH NE CHAHA,FIR HUZUR DASDAS KO BULAANE LAGE WOH ISME SE KHAANE LAGE.HUZUR INSE FARMATE THE ALLAH KA NAAM LO OR HAR SHAKH APNE SAAMNE SE KHAAYE.JAB SAB NE KHAA LIYA TO HUZUR NE MUJHSE FARMAYA
"AI ANAS IS KO UTHAALO"
Jab MAINE DEKHA TO MUJHKO MAALUM NAHI KI JAB RAKHA THA TAB JYADA THA YA JAB UTHAYA TAB JYAADA THA"
*📚[BUKHARI SHAREEF,J:2,KITABUL NIKAAH,SAFA:775]*
*📚[MUSLIM SHAREEF, J:1,SAFA:461]*
*📚(MISHKAT SHAREEF,BAB FIL MU'AJIZAT,SAFA 538)*
~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan MoinRaza PETLAD_*
📲
~::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::~

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts