*🌹SAWAL:-🌹*
Siyah khizab (black colour) baal me lagana kaisa ?
Or uski namaz ka kya hukm he ?
Or gusl hoga ya nahi ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Siyah khizab (kala rang) balo me lagana mana'a he, haram he or dusre rang ka ho to mana' nahi
Agar kala khizab lagane ka aadi ho to namaz maqroohe tahrimi wajibul ae'aada he.
Jaisa k durre mukhtar me he.
و کل صلاۃ ادیت مع کراھة تحريمة فتجب اعادتھا ـ
*📚(DURRE MUKHTAR JILD-2,SAFA-130)*
*📚(FATAWA BAHRUL ULOOM,JILD-1,SAFA-315)*
NEEZ...
```FATAWA BARAILY SHAREEF ME HE👇🏻```
"Siyah khizab ya aysi mahendi jisse baal kaale ho jae lagana jaiz nahi he Siyah khizab jihad ke siwa mutlaqan haram he jis ki hurmat ahadise sahiha mu'atebara se sabit he.
Huzur sallallahu alaihi w sallam ke farman he ki
غیروالشیب ولا تقربوالسواد
Peeri tabdil karo or Siyah rang ke qareeb na jaao
*📚(MUSNAD IMAM AHMAD BIN HAMBAL)*
🔹Dusri hadish me he
Tarzuma:- huzur sallallahu alaihi w sallam farmate he aakhri zamane me kuchh log Siyah khizab karege jaise kabootaro ke pote jo jannat ki khushboo na sunghe ge.
🔹Tisri hadish me he
Huzoor nabi e karim sallallahu alaihi w sallam ne farmate he jo Siyah khizab kare allah ta'ala roze qayamat uski taraf nazre rahemat na farmaega.
🔹Chothi hadish me he,
Zard khizab iman walo ka he, surkh khizab islam walo ka, or Siyah khizab kafiro ka he.
Lihaza jo imam kaala khizab karta he vo fasiqe mu'allin he or uske piche namaz makroohe tahrimi wajibul ae'aada he yani padhi to gunah or use lotana wajib he..
Khwañ namaz farz ho ya tarawih
*📚(FATAWA BARAILY SHAREEF,SAFA-68)*"
Ahadise mubaraka me Siyah rang ko istemal karne ki shiddat se mumaneat farmai gai he.
Jaisa ke mazkoora bala hadish
Aakhri zamane me kuchh log ayse hoge jo Siyah khizab karege jaise kabootar ke pute ye log jannat ki khushboo nahi payege
*📚(SUNAN ABU DAWOOD,J-2,S-222)*
Isi tarah ek or hadish me rasoole kareem ne irshad farmaya
Jisne kala khizab lagaya allah ta'ala qayamat ke din uska chahera Siyah farmaega.
*📚(MAJMA'AUZ ZAWAID,J-5,S-163)*
Jalilul qadr tabei hazrat mujahid radiallahu anhu farmate he ke sab se pahle fir'Aon ne kala khizab lagaya tha
*📚MUSANNIF IBNE ABI SHAYBA,J-8;S-163)*
_In tamam ahadise karima se bilkul wazeh ho gaya k kala khizab lagana jaiz nahi he baaki digar rango ke khizab lagana jaiz or ahadis me chunke mutlaqan kaale rang ke istemal se mana'a faramaya_
_Is liye vo chiz jis ke lagane se sar ya darhi me kala rang aaye vo mamnoo'a hogi_
_Khwa vo Siyah mahedi ho ya kala kula, ya kuchh or ho,_
*Aala hazrat mujaddide dino millat Ashshah imam ahemad raza fazile barailvy alaihir rahamatu ridwan* ne gyarah ahadise mubaraka se Siyah khizab ki mumaneat ko sabit kiya he or aakhir me tahrir farmai he ki ahadise mubaraka v riwayat me mutlaq Siyah rang se mumaneat farmai to jo chiz balo ko Siyah kare Khwa vo neera neel ho ,mahedi ho ,ya koi tel ho ,garz kuchh ho sab najaiz v haram or un waido me dakhil he
*📚(FATAWA RAZVIYA SHAREEF,J-10,S-59)*
*📚(ANWARUL FATAWA,S-499,500)*
Chunanche aala hazrat alaihir rahma tahrir farmate he k hadish shareef me mutlaq Siyah rang kare Khwa neel ya mahedi ka mel, ya koi tel garz ke kuchh bhi ho sab najaizo haram he
*📚(FATAWA RAZVIYA.J-9,NISF AWWAL,S-32)*
Mard aurat dono ko kaali mahedi lagana haram he.
*📚(FATAWA RAZVIYA JILD 9 ,NISF AAKHIR SAFA 192)*
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, JILD 2, SAFA-248)*
Hazrat abdullah ibne umar radiallahu anhu se riwayat he ki muslim ka khizab surkhi he or kafir ka khizab siyahi he.
*📚(BAHARE SHARIYAT,J-3,HISSA-16,SAFA-595, ZINAT KA BAYAN, MAKTABUL MADINA)*
Bahre kayf aaj kal aksar log or ba'az maulvi hazrat darhi ko khizab se ya duari udwiya se bilkul Siyah karte he ye bilkul najaiz haram he
*📚(FATAWA AALA HAZRAT, S-23)*
lihaza khizab me aesi koi chiz mili hui nahi he jo pani ko sar me pahunch ne se roke to gusl ho jaega. Or Agar pani sarayat na kare to gusl nahi hoga.
Is liye k gusl janabat me har a'zu par paank ka pahunchna farz he
*📚aam kutube fiqha*
NOTE:-
SIYAH KHIZAB LAGANA NAJAIZO HARAM HE, JIHAD KE SIWA MUTLAQAN HARAM HE AGAR KOI IMAM SIYAH KHIZAB KARE TO VO FASIQE MU'ALLIN HE, US KE PICHE NAMAZ MAKROOHE TAHRIMK WAJIBUL AE'ADA HE,PADHI TO GUNAH OR USE LOTANA WAJIB HE FARZ NAMAZ HO YA TARAWIH YA NAFL SAB KA EK HI SHARAI HUKM HE KYU K SIYAH KHIZAB LAGA KAR NAMAZ PADHEGA TO NAMAZ NAHI HOGI
JAB TAK KE TAUBATUN NASUHA NA KARE
*HAWALA:-📚FATAWA BARAILY SHAREEF SAFA 48, 49)*
========➖➖➖➖➖=========
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:-Pathan Moin Raza Azhari_*
📲

No comments:
Post a Comment