Medical insurance/medical aid/mediclaim karvana kaisa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Mediclaim karana kaisa ?
Ya medical insurance karana kaisa ?
Tafsil se jawab irsal kare

*🌹JAWAB:-🌹*
Mediclaim jise medical insurance bhi kaha jata he,
Medical insurance ki soorat ye he ki kisi ko agar future me koi marz ho jaae to ho sakta he ki uska ilaj mahanga hoga to ab us mahange ilaj se bach ne ki khatir apni marzi se insurance karata he jo government ya niji company walo ko saal me ek muta'ayyan rakam jama'a karate he uski buniyad par agar sal bhar ke andar jisne insurance karaya he vo agar bimar padta he to uske ilajo muaalaza ki badi se badi rakam ye niji company ya government deti he.
Or mere khyal se shayd yahi insurance ya Mediclaim he.

Is par ek seminar Huzur Tajushshariyah Mufti Muhammad Akhtar Raza Khan Qadri,Barkati Al-Azhari, damazilahul aali wa noorani ki sarparasti me takreeban 2006  8,9 July ko or 11,12 jumaa din aukhra 1427 ko baraily shareef me mun'aqid huaa usms ek mauzu (topic) medical insurance hi tha usme chand sawal pesh hue the
👉1⃣is tarah ke medical insurance karane ka sharai hukm kya he ? kya koi aadmi bimar ho jaae to mareez jisne medical insurance karaya he us raqam se istefada kar sakta he ya nahi ?
👉2⃣Dusra sawal ye tha ki kya governmenty or niji companyo me medical insurance karane ke hukm me farq hoga ?
Yani agar koi government se insurance karata he to usse faida hasil karna ya agar niji company me insurance karata he to usse faida hasil karna kya in dono me koi farq he ?
👉3⃣Or tisra sawal ye tha ki jin hukumato ne apni shaheriyo ya gair mulki musafaro par apni jismani sehat ke liye bimaa yani insurance karana laazim kar diya vaha is insurance ka hukm kya hoga ?
Or insurance karane wala agar bimar ho jaae to kya us insurance rakam se uske liye faida uthana durust hoga ya nahi ?
👉4⃣Chhotha sawal ye tha ki sehate bima ki agar adni jawaz ki soorat ho yani agar ye teeno soorate najaiz ho to uske jaiz hone ki koi soorat ho sakti he ya nahi ?

In char sawalo ke jawab bade bade aulma e kiram  muftiyane izaam jama hue ir unhone 2006, 8,9July ko tamam ne muttafiq ho kar ye jawab diya.
👉1⃣Pahle sawal ka jawab ye he
Sawal tha ki medical insurance karane ka sharai hukm kya he kya mariz medical insurance karane wala us insurance ki rakam se faida hasil kar sakta he ?

👉To uska jawab muftiyane kiram ne ye diya or Huzur Tajushshariyah bhi maujud the
Ki ye insurance sharai kisi maamle ke tahat nahi aata , kisi aqd ke tahat nahi aata balki ye ek juvaa he jiska hukm yani insurance karana auqude fasida se he or auqude fasida gaire mu'amin gaire zimmi gaire musamin se usi soorat me jaiz he jab ki nafa'a muslim mazmoon badalne galib ho yani ye auqud jo gaire mu'amin company he (gair musalmano ki) jo companya he unse karana usi waqt jaiz hoga jab ke usme gaalib guman ye ho ki is tarah ka insurance karane me musalman ka nafa'a hoga tab jaiz hoga warna nahi or chunki aap hazraat ko ye maloom hi he ki agar bima karane wala ya insurance karane wala ya Mediclaim karane wala saal bhar tak rakam bharta raha or bimar nahi huaa to fir saal bhar ki bhari hui ye rakam use wapas nahi milegi balafze zikar vo rakam less ho jati he fir jab aainda saal vo dusri rakam bharega tab vo bimar hoga tab use us insurance ka faida milega .
Galiban is ki soorat aesi hi hoti he.
Ye usi soorat me jaiz ho sakta he jab musalmano ka faida hi faida ho kisi kism ka koi nuqshan na ho magar chunki usme agar koi musalman bimar na huaa to uski rakam let ho jaegi or isme galib gumaan nahi ki usko faida hi hoga  is wajah se ye najaizo haram he juvaa he.
Usi waqt jaiz hoga jab ki usme musalmano ka faida hi faida ho kisi 1 rupe ka bhi nuqshan na ho.
👉2⃣Or dusra sawal ye tha ki government ya niji companyo me insurance karane me koi farq he ?

Jawab yahi ki koi farq nahi, bas yahi ki musalmano ka faida ho to jaiz or agar 1 rupe ke bhi nuqshan ka yakeen he ya galibe guman he to najaiz.
👉3⃣Or jaha jaha government ne apne shaheriyo ke upper Mediclaim ya insurance karana lazim karar de diya he vaha par un logo ke liye medical insurance karana jaiz hoga usi tarike se jo Muslim mamaalik he vaha ki government ne apne shaherio pe lazim kar diya he medical insurance karana vaha ke log medical insurance kara sakte he..
Haa jab ilaj karane ka waqt aaye to jitne paise jama kiye he utne hi paiso se ilaj karae baki jo zyadati paiso ki hogi uska sadqa karna zaroori hoga.
Ummed he aap ko ye mas'ala samaj me aa gaya hoga..

Aesa hi kitab:- *📚FAISLA JAATE SHARAI COUNCIL,Safa-66,67,68* me bhi he

*_🎙AL-JAWAB:- KHALIFA E HUZUR ASHRAFUL FUQHA 🌹HAZRAT MUFTI TAUFIQ RAZA SAHAB MISBAHI✍🏻_*
*📬DARSO TADRISO IFTA DARUL ULOOM QADRIYA RAZVIYA PETLAD🏬*
*_📬KHATIBO IMAM TAIWADA MASJID PETLAD🕌_*
========➖➖➖➖=======
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza_*
📲
========➖➖➖➖=======

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts