WUZU YA GUSL KE PAANI ME HATH YA UNGLI DALNA YA GUSL KE OANI KE CHHINTE BALTI ME GIRNE SE WUZU YA GUSL HOGA YA NAHI

*🌹SAWAL:-🌹*
Ghusl Karte Waqt Paani Ko Chhu Ke Dekhte Hain Ke Kitna Garm Hai. Sawal Yeh Ke Napaki Ka Ghusl Karte Waqt Gile Haat Se Paani Ko Chuye'n To Kya Is Paani Se Ghusl Ho Jayega Aur Ghusl Ke Paani Ke Kuch Qatre Agar Paak Pani Me Gir Jaye'n To  Kya Is Paani Se Ghusl Ker Sakte Hain?

*🌹JAWAB:-🌹*
_Agar Paani Alag Lekar Ke Chhuwa Ke Kitna Garam Hai To Is Surat Me Woh Paani MustaAmal Nahi Hoga Usse Ghusl Ho Jayega. Aur Agar Isi Paani Me  Haath Daal Diya Jo Aab -E-Qaleel Hai Aur Ghusl ki Haajat Thi Ya Wuzu Ki Haajat Thi To Sara PAani MustaAmal Ho Gaya.  Ab Uski Surat Ye  Hai Ke PAani Ko Ubaal De'n Ke Baalty Ya Tub Ya Kisi Bartan Ke Kinaro'n Se Woh Jisme Paani Hai Woh Chhalak Kar Ke Beh Jaye To PAani Qabil-E- IsteAmal Hoga._
_Aur Nahate Me Agar Qaleel Paani Gir Jaye To Us Surat Me Paani MustaAmal Nahi Hoga Jab Tak Ke MustaAmal PAani Jo Badan Se Gira Woh Maa -E- MustaAmal Par Ghalib Na Ho._
(Must'amal Yani istemal kiya huaa or istemal kiye hue paani se wuzu ya gusl nahi hoga)

http://jamiaturraza.com/session/23Mar14/17.mp3
*_🎙 AL-JAWAB:- HUZUR TAJUSHSHARIYAH ALAIHIR RAHMA👆_*

_Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate He,_
*▶Mas'Ala:-*
Jo pani wuzu ya gusl karne me badan se gira wah paak he magar usse wuzu ya gusl jaiz Nahi, aese hi agar be wuzu shakhs ka hath ya ungli ya pora ya nakhun ya badan ka koi tukda jo wuzu me dhoya jata ho irade ya bagair irada dah-dar-dah se kam paani me be dhoye hue pad jaaye to wah paani wuzu or gusl ke layik na raha isi tarah jis par nahana farz he uske jism ka koi be dhula huaa hissa paani se chhu jaaye to wah paani wuzu or gusl ke kaam ka na raha agar dhula huaa hath ya badan ka hissa pad jaye to harj nahi.

*▶Mas'Ala:-*
Agar hath Dhula huaa he magar fir dhone ki niyyat se dala or wah dhona sawab ka kaam ho jese khane ke liye ya wuzu ke liye to wah paani must'amal(istemal kiya hua) ho Gaya, yaani wuzu ke kaam na raha or us paani ko Pina bhi makrooh he.

*▶Mas'Ala:-*
Agar Zaroorat se hath paani me dala jese bade bartan me he ki use juka nahi sakta na koi chhota bartan he ki usse nikale to eysi soorat me Zaroorat bhar hath pani me daal kar us se paani nikale ya kuyeÑ me rassi dol gir gaya or be guse nahi nikal sakta or paani bhi nahi ki hath paanv dho kar guse to is soorat me agar paanv daalkar rassi nikalega to paani must'amal na hoga is mas'ala ko bahut kam log jante he logo ko janna chahiye.

*▶Mas'Ala:-*
Istemal kiya huaa paani agar bina istemal kiye hue paani me mil jaaye jese wuzu ya gusl karte waqt paani ke katre lote ya ghade me tapke to agar achcha paani zyada he to yah wuzu or gusl ke kaam ka he warna sab be-kaar ho gaya.

*▶Mas'Ala:-*
Pani me hath pad gaya ya or kisi tarah must'amal ho gaya or yah chahe ki yah kaam ka ho jaye to achcha paani us se zyada us me mila de or uska yah tarika bhi he ki ek taraf se paani dale ki dusri taraf bah jaaye to sab kaam ka ho jayega aese hi napak paani ko bhi paak kar sakte he aysi hi har bahti hui cheez apni jins ya paani se ubal dene se paak ho jayegi.
*📚BAHARE SHARIYAT, H-2, S-56)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖===========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts