Namazi ke Aage Se Guzane Se Namaz Me Koi Farq Hoga Ya Nahi Or Guzarne Wala Par Kya Hukm He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaykum hazrat mera sawal hai ki agar namaz chalu ho or samne se koi guzar jae ya aage betha hua sakhs muktadi ki namaj ki jagah pr paon rkh kar jae to ese me kya namaj ada nahi hogi? Is pr kya sharai hukm lagega rehnumai farmyen...

*🌹JAWAB:-🌹*

_Namazi Ke Samne se agar koi guzre to Namaz me koi farq nahi aayega namaz ho jaegi, Lekin Guzarne wala sakht gunahgaar he._

_Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alahir Rahemato Ridwan Taherir Fatmate He_

Namazi ke aage se balki mauzu e sujud se kisi ka guzarna namaz ko fasid nahi karta, khwaN Guzarne wala mard ho ya aurat, kutta ho ya gadha.

Musalli ke aage se guzarna bahut sakht gunah he. Hadish Shareef me he ki  is me jo kuchh gunah he agar guzarne wala janta to chalis tak khade rahne ko guzarne se bahetar janta, raawi kahte he me nahi janta ki chalis din kahe ya chalis mahine ya chalis baras. Ye Hadish sihahe sitta me abi jaheem RadiAllahu Anhu se marwi hui or bazzar ki riwayat me chalis baras ki tasreeh he.

Or ibne maja ki riwayat abi huraira RadiAllahu Anhu se ye he ki RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya agar koi janta ki apne bhai ke samne namaz me aade ho kar guzarne me kya he ? To so(100) baras khada rahna us ek qadam chalne se bahetar samajta.

Imam malik ne riwayat kiya ki ka'ab ahbar farmate he namazi ke samne guzarne wala agar janta ke is par kya gunah he ? To zameen me dhans jane ko guzarne se bahetar janta.
*📚(BAHARE SHARIYAT, H-3,  S-182)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_📬Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_*
📲8487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts