CONDOM KA ISTEMAL KARNA KESA ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum ek sawal
Condom yani (nirodh) ka istamal hambistari  k waqt karna Jayez he ya nahi hadis ki roshni me jawab inayat farmayen

*🌹JAWAB:-🌹*
W Alaikum Assalam W Rahematullah,

_Condom Ka istemal Karna Jaiz He._

_Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alahir Rahma Farmate He,_

Waqti Taur par zarooratan hamal ke isteqarar ko rokne ke liye dawa ya injection dena jaiz he. Na ki hamesha ke liye.

_Or Farmate He,_

Mahaz is khauf se ki zyada bachche ho jaege to kon parhae likhaega  hamal na thaharne ki wajah dawa ka istemal jaiz nahi ki kam padha likha shakhs bhi apni zindagi achchi tarah guzar sakta he. Is liye ki allah ta'ala sab ko rozi dene wala he. Usi ka irshad he.
وَلَا تَقْتُلُوا أَوْلَادَكُم مِّنْ إِمْلَاقٍ ۖ نَّحْنُ نَرْزُقُكُمْ وَإِيَّاهُمْ
Tarjama:- Or Apni Aulad qatl na karo muflisi ke baais, ham tumhe or unhe sab ko rizk dege.
*📚(SURA E AN'AAM, AAYAT-151)*

Or esi Dawa istemal karna ki jisse hamesha ke liye hamal na ho ye ummate muslimah ki zyadati ko rokna he halaki huzur Sallallahu alaihi w sallam ne zyadati ko pasand farmaya. Lekin agar janti he ki hamal thaharne ki wajah se uski sehat kharab ho jaegi ya Chhota bachcha he jiski tandurasti dudh na Milne ki bina par kharab ho jaegi to is qism ki majboori ke tahat waqti taur par hamal na thaharne ki dawa (condom/nirodh) wagairah ka istemal durust he  or hamesha ke liye bachcha paida karne ki taqat khatm ho jane ke liye aysi cheez ka amal me lana haram w najaiz he.
*📚(FATAWA FAQIHE MILLAT, J-2, S -333)*

_Condom ya nirodh Ka istemal Jaiz he ki ye azl ke hukm me he._

Azl use kahte he ki mubasharat ke waqt jab mard ko inzal  hona karib ho, to mard apne aale ko aurat mi farz se nikal kar mani raham ke bahar kharij karde. Is tarah jab mard ki mani aurat ke raham me nahi pahuchti he to hamal karar nahi pata.

Hadish shareef me bhi he ki sahaba e kiram ne aulad ki paidaish ko rokne ke liye azl kiya tha.

Hadish Shareef Me He Ki RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne farmaya Agar Tum Chaho To Usse Azl Karlo.
*📚(SAHIH MUSLIM, Baraqm:134, 1439)*

Hazrat Jabir RadiAllahu Anhu farmate he, ham nabi e kareem Sallallahu alaihi w sallam ke mubarak zamane me azl kiya karte the, halaki Qur'an e kareem nazil ho raha tha. Imam tirmizi  is hadish ke muta'allik farmate he ye hasan sahi he.
*📚(TIRMIZI SHAREEF,  J-1, S-583)*

Mishkat W  Muslim shareef  me Hazrate Jabir RadiAllahu Anhu se yah riwayat marwi he ki " izl ke muta'allik huzur Sallallahu alaihi w sallam ko khabar pahuchi lekin aap ne hame mana na farmaya.
*📚(MUSLIM SHAREEF, J-1, S-465)*
*📚(MISHKAT SHAREEF, J-2, S-87)*

Azl Karne ka Maqsad yah hota he ki hamal na thahre. Is maqsad ke tahat mard apni mani ko aurat ke raham me jane se rokta he. Yahi Maqsad condom ya nirodh se hasil hota he. Chunanche azl par qayas karke kaha ja sakta he ki jis tarah azl najaiz nahi isi tarah condom ya nirodh ka istemal bhi najaiz nahi. Kyu ki azl or condom se ek hi maqsad hasil hota he.

Ahadis w fiqh ki mustanad kitabo me Yah naql he ki azl apni biwi ki ijazat ke bagair nahi kar sakta.

Amirul Mu'amineen Hazrat Umar Farooqe Aazam RadiAllahu Anhu se riwayat he,
RasoolAllah Sallallahu alaihi w sallam ne aazad aurat(biwi) se bagair uski ijazat ke azl karne se mana farmaya.
*📚(IBNE MAJA, J-1, BAAB NO.- 618, SAFA-539)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍Pathan Moin Raza Azhari, Petlad*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
============➖➖➖➖=========

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts