Shariyat Me Mudakhelat Karne Wali Party Ko Vote Dena Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalam Alaykum
Hazrat
Sawal
Aise parti ko oot Dena Kaise Jo *Shariyat Main Mudhakilat*  Karti ho Jaisa Ke 3Tallaq Par Aiso Ki Mitting Karana Ya Unko badhawa dena Kisa Hai *Shariyat ki Roshni Main kya Farmate Hai Hazrat*

*🌹JAWAB:-🌹*
Wa Alaikum Assalam w Rahematullah,

Ayse Logo Ko Vote Dena Ya Barhava Dena Jaiz Nahi Jo Musalman Par Zulm Kare Or Jo Shariyate Mustafa Me Madakhelat Kare Aysi Party Ya Member Ko Vote Dena Badarja Awla Najaiz, Or Gunah Par Madad Karna Bhi Gunah He.

Jaisa Ke Rab Tabarak W Ta'ala Ka Irshad He,
وَإِمَّا يُنسِيَنَّكَ الشَّيْطَانُ فَلَا تَقْعُدْ بَعْدَ الذِّكْرَىٰ مَعَ الْقَوْمِ الظَّالِمِينَ
Yaani Jo Kahe Tujhe Shaytan Bhulave To Yaad Aaye Par Zalimo Ke Paas Na Betho
*📚(Sura e An'aam, Aayat-67)*

_Jaisa Ki Hazrat Allama Faiz Ahemad Owaisi Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He_

Saiyedna Imame Aazam Abu Hanifa RadiAllahu Anhu Ko Khalifa e Waqt Ne Ek Qalam Ata Marne Ki isted'aa ki Aap RadiAllahu Anhu Ne Qalam Tayyar Kardi Usne QalamDaan Me Rakhi Jab Vo Kahiñ Uth Kar Gaya To Aap RadiAllahu Anhu Ne Qalam Utha Kar Tod Di. Wapas Aakar Puchha To Farmaya Ki Me Ne Isi Liye Qalam Tod di Ki Mumkin He Tu Is Se Koi Galat Faisla Likhe To Kal Qayamat Me Mujh Se Sawal Hoga Ki Yahi Qalam Tune  Diya Or Ye Gunah Par Mu'aavanat he to me iska kya jawab Duñga.

Ayse Hi Vote Ke Istemal Par Agar Ye Kaam Mamber Ya wazeer Ya Koi Or Ohadda Sambhal Le Or Usme Galat Kaam Kare To Uske Un jara'im Me Vote Dene Wala Bhi Barabar Shareek He.
Makhuz... *📚(Jadeed Masail Ke Sharai Ahkam, S-12)*

Isi Ta'alluk Se Hazrat Allama Faiz Ahemad Owaisi Alaihir Rahma Ne Mazeed Tafsil *📚Mazkura Kitab Ke Safa- 12 sse Safa-15* Par Raqam Farmai He.

_Or Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He_

Unke Muntakhab Kiye Huye Mamber Ko Vote Dene Me Koi Harj Nahi Jab Ki Vo Sunni Ho Or Usse Sunniyo Ka Mafad Maznoon Ho.

Or Farmate He,

Us Jama'at Ne Agar Koi Aysa Kaam Karna Chaha Jisse Sunniyo Ka Faida He To ayse Kaam Me Kisi Tarah ki Madad Pahuchane Me Koi Harj Nahi Ki Vo Khud Apne Hi Ko Faida Pahuchata He.
*Makhuz📚(FATAWA AMJADIYA, J-4, S-305)*

Lihaza Ayse Mambers Ko Vote De Jisse Musalman Ka Fayda Ho Or Ayse Members Ya Partiyo Ko Vote Dena Hagiz Jaiz Nahi Jisse Shariyat Me Mudakhilat Ki Gunjaish Ho.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts