Online Trading Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
ﺍﻟﺴﻼﻡ ﻋﻠﻴﻜﻢ ﻭﺭﺣﻤﺔ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﺑﺮﻛﺎﺗﻪ

Baad Salam Muftiyaane Kiraam ki Baargaah Me Sawaal Arz hai ke...

👉 *Expert Options me Online Trading karna kesa ?*

📋 *Expert Option -*

{Expert Option Bilkul Share Market ki Tarhaa Hota hai,
Duniya me Bahot si Mukhtalif  Currency's Hai Jinke Price har second me Ghat te Badh te Rahete hai, Aur isme Kaam yeh hota hai ke Aap ko isme Andaaza Lagaana Hota hai ke Agale 30 Second me Aap Ne Jo Currency ko Select kiya hai Uski Price Jyaada Hogi ya kam Ho Jaaegi, Agar aap ka Andaaza sahi hua to Aap ne Jitne Paise Lagaaye the uske Double Paise Aap ko Account me Mil Jaate hai aur agar Andaaza Galat hua to Aap ne Lagaaye Huwe Saare Paise Account se Kaat Liye Jaate hai...}

To ab pcuhan yeh hai ke is Tarhaa se Kamaaye huwe Paiso Par kya Hukm Lagega, kya is Tarhaa kamaana Haraam hai, Ya Makhrooh hai ya Na Jaaiz ?

Aur is Tarhaa se kamaaye huwe paiso ko istemaal me lene par kya Hukm lagega ?
Aur kya isey Deeni kaam me istemaal kiya ja sakta hai

Hazraate kiraami is Masa'ale me Tafseel Darkaar hai...

Baraaye karam Qura'aan o Hadees ki Roshni me Tafseel se Jawaab De kar Hamaari Rahenumaai Farmaaye, Aur Hamaari la ilmi dur Farmaa kar Gunaah se Bachne ka Moka Ataa Farmaaye

Jazaakallahu Khaira

*🌹JAWAB:-🌹*
Mazkura Sawal Me Jo Soorat Bayan Ki Gai Ki Andaza Sahi Hone Par Double Paise Milege Or Andaza Galat Hone Par Use Paise Dene Padege, Ye Juve Ki Soorat He Ki Jis Me Haar W Jeet Ho Ye Juva He. Lihaza Is Tarah Online Trading Karna Najaizo Haram He.  Or Haram Tariqe se kamaya Paisa Bhi Haram w Khabees Hota he Ise Khud Apne Kaam me Lana Ya Kisi Bhi Dini Kaam Me Lana Bhi Haram W Gunah He.

Qura'an Majeed Me Rab Tabarak W Ta'ala Ka Farman He,
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِنَّمَا الْخَمْرُ وَالْمَيْسِرُ وَالْأَنصَابُ وَالْأَزْلَامُ رِجْسٌ مِّنْ عَمَلِ الشَّيْطَانِ فَاجْتَنِبُوهُ لَعَلَّكُمْ تُفْلِحُونَ
Yaani Ay Iman Walo Beshak Sharab Or Juva Or But Or Paase Napak Hi He Or Shaytani Kaam To Unse Bachte Rahna Ki Tum Falah Paao.
*📚(Sura e Maaida, Aayat-90)*

Is Aayat Ki Tafsir Ke Tahat Aallama Aloosi Alaihir Rahma Farmate He,

Har Vo Jis Me Nafa'a w Nuqshan Shart me dakhil ho or rahan Wagairah jis me shart lagai jaye usi me ( Yaani Juve Me) Dakhil He.
*📚(Ruhul Ma'aani, J-2, S-114)*

Qimmaar Yaani Juva Ke Mafhoom Ko Allama Shami Ne Is Tarah Bayan Kiya He Ki,

Qimmaar Vo Muaamla he jis me dono fariqain ko nuqshan  pahochne ka ahtemal barabar ho.
*📚(Raddul Muhtar, J-6, S-403)*

Har vo Soorat Jisme Haar w Jeet he or Usme Kisi Ko Maloom Nahi Hota ki aage haar hogi ya jeet ye juva he.

Jaisa Ki imame Ahle sunnat Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,

Or Khasa e Qimmaar (Juva) He Ki Baaye Mushtari ke liye ek aainda na ma'aloom Soorat Me Ki Khuda Jaane Kis Tarah Waqe'a Hogi Haar Jeet Badi Gai he or qimmaar banasse Qatai Qura'an Haram He
*📚(Fatawa Razviya, J-7, S-35)*

Or Ye Bhi Ek Musallima Haqiqat He Ki jitne Afrad Hote he Sab yahi chahte he ki hamari jeet ho koi fard apni haar ko maante huye option wala button nahi dabata he yahi juve ka asli Ma'ana he,

Meer Saiyed Shareef Jarjaani Farmate he,
القمار: هو أن يأخذ من صاحبه شيئًا فشيئًا في اللعب.
Har Vo Khel Jisme Ye Shart Ho Ki Haarne Wale Ki Koi Cheez Jitne Wale Ko Di Jayegi, Qimmaar (Juva) He.
*📚(Jarjaani, At-Ta'areefat, J-1, S-229)*

Or Shar'an Juve Ki Haqiqat Bhi Yahi He.

Or Shami Me He,
القمار من القمر الذی یزید و ینقص و سمی القمار قمارا لان کل واحد من المقامرین ممن یجوز ان یذھب مالہ الی صاحبہ و یجوز ان یستفید مال صاحبہ
Yaani Qamaar Ka Lafz Qamar Yaani Chand Se Bana He Jo Gatta Barhta Rahta He Isi Tarah Juva Khelne walo me har aadmi ke har dam gatne ya barhne ka imkan rahta he ki is ka maal is maqabil ko mil jaye ha iska uski taraf chala jaye.

Saawi me he,
(قولہ القمار)من المقامرۃ و ھی المغالبتہ لان کلا یرید المغالبتہ لصاحبہ
*📚(Saawi, S-263)*

Al-Atayun Nabviya Me He,
Tama'a ke jaal me logo ko phansna or ek ummide mauhom par pansa dalna hi qamaar he.
*📚(Al-Atayun Nabviya, J-7, S-95)*

Isi Tarah Bahare Shariyat Me He,

Agar Dono Janib Se Maal Ki Shart Ho Maslan Tum Aage Ho Gaye To Me Itna Dunga Or Me Aage Ho Gaya To Me Itna Lunga Ye Sooraf Juva Or Haram He.
*📚(Aalamgiri, Durre Mukhtar)*
*📚(Bahare Shariyat Application, H-16, S-251)*

Lihaza is Tarah Expert Option me ya kisi Bhi Tarah Ki Online trading Paisa Lagana Jis Me Haar w Jeet Ho Najaizo Haram Sakht Gunah, Or Uska Paisa Bhi Haram..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts