LIC Ya Is Tarah Ki Digar Life Insurance Company Me Paisa Lagane Ka Hukm

 *LIC Ya Is Tarah Ki Digar Life Insurance Company Me Paisa Lagane Ka Hukm*

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazraat E Muhtaram Ulmaa Ikraam Ki Baargaah Me Salaam Arz Hai

Assalaam Alaikum Wa Rahmatullaahi Wa Barakaatuhu

Hazrat Mera Sawaal Hai Ki Government Scheme Jaise Pradhan Mantri Jeevan Beema Yojana  Ya Pradhan Mantri Suraksha Beema Yojana Me Paisa Lagaana Kaisa Ki Usse Bohut Zaroori Haalaat Me Paise Ki Zarooriyaat Ko Poori Kiya Jaaye?

Jawaab Ka Muntazir

Assalaam Alaikum Wa Rahmatullaahi Wa Barakaatuhu

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jame'a Tul Asharafiya Mubarak Pur Me Mun'aqid Hone Wale Fiqhi Seminar Me Life Insurance Ke Ta'alluq Se Jo Faisla Hua Vo Mundarija Zail He,

1] Bima E Zindagi aqde qarz basharte riba mushtamal bar aqde Qimaar He.

2] Aqde Qarz Riba Ki Wajah Se Aqde Faasid Or Aqde Qimaar Bhi Aqde Faasid He.

Maujuda Soorate Haal Me Hukumate Hind Ki Life Insurance Company Ke Sath Uqoode Fasida Basharte Naf'e Muslim Mubaah He..

3] Darj Zail Logoñ Ke Liye Bima E Zindagi (Life Insurance) Jaaiz He...
1. Vo Mulaazim Jiski Tankhwah Se Premium Ki Raqam Mustaajir Khud Waza'a Karke Jama'a Karne Ka Zaamin Ho.

2. Vo Saahibe Maal Jisko Apni Maujuda Halat Ke Sath Teen Saal Ki Muddate Muqarrara Ya Uske Baad Ki Muddate Mussa'aa Tak 3 Saal Ki Tamam Qisteñ Musalsal Jama'a Karne Ka Zanne Gaalib Mulhiq Ba Yaqeen Ho, Aysa Zanne Gaalib Jo Imaame Ahle Sunnat Aala Hazrat Ne ”الأحلى من السکر" Ke Muqddama E Saabeaa Me Qisme Awwal Ke Taur Par Bayan Farmaya He.

4] Jis Shakhs Ki Maujuda Haalat Muddate Mussa'aa Tak Teen Saal Ki Policy Qaaim Rakhne Ke Qaabil Nahiñ Uska Zanne Mulhiq Ba Yaqeen Nahiñ He. Ayse Shakhs Ko Bima Policy Ki Ijazat Nahiñ....

5] Muddate Mussa'aa Me Qist Se Zaaid Jo Raqam Ada Kare Vo Sood Nahiñ He Balki Apne Maal Ko Qarz Dena He Ki Vo Use Wapas Milega.

6] Zanne Gaalib Ke Sath Shuru'a Karne Wala Agar Teen Saal Se Qabl Apni Kotaahi Se Bagair Kisi Sharai Majboori Ke Apni Policy Band Karde Aasim (Gunahgaar) He or Agar Kisi Sharai Majboori Maslan Aflaas Wagairah Ki Wajah Se Policy Band Ho Gai To Aasim Na Hoga..
 
7] Bima (Company) Se Hasil Shuda Zaaid Raqam Maale Mubaah He. Use Apne Umoor Me Sarf Karna Jaaiz He.. Albatta Use Sadqa Kar Dena Bahetar He.
*📚(Majlise Sharai Ke Faisle, S-123,124)*

Lihaza Lic Policy Lena Maujuda Soorate Haal Me Hukumate Hind Ki Insurance Company Ke Sath Uqoode Fasida Basharte Naf'e Muslim Mubaah He... Ye Bhi Is Shart Ke Sath Ki Isme Musalman Ka Naf'a  Hi Naf'a Ho Ek Rupye Ka Nuqsan Ya Uska Andesha Na Ho, Us Waqt Uski Ijazat He, Magar Ye Mutawaqqe'a Nahiñ Yaani Aysa Hota Nahiñ He Ki Company Apna Nuqsan Karde or Apne Costomer Hi Ka Fayida Hi Fayida Kare, Ye Hota Nahiñ.. Lihaza Agar Koi Aysi Scheme Ho Jisme Musalman Ka Naf'a Hi Naf'a Maqsood Ho or Qiste Jama'a Karne Ke Baad Rupye Wapas Milne Ki Garranty Ho or Vo Companyañ Bharose Layak Bhi Ho to Fir Uski Ijazat Honi Chahiye...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️16 Oct 2023, 30 Rabi Ul Awwal 1445*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts