Qabrastan Me Jute Chappal Pahan Kar Jana Kesa ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Qabrastan Me Jute Chappal Pahan Kar Chalna Kesa ? Or Agar Qabro Ke Karib Me Rasta Ho Kya Vahañ Jute Pahan Kar Chal Sakte He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
Musalman Ki Qabr Par Chalne Ke Ta'alluk Se Ahadise Kareema Me Kai Saari Waeede Aai He, Magar Qabrastan Me Jo Rasta Hota he Usme Agar Vo Rasta Naya Bana He To Us Par Bhi Chalne Ko Aulma e Kiram Ne Haram Farmaya Ki Uske Niche Muslamano Ki Qabr Ho Sakti He, Or Musalman Ki Qabr Par Chalna Haram, Sakht Gunah, Hurmate Momin Ke Khilaf, Tarke Adab, Gustakhi He, Or Agar Qabrastan Me Koi Purana Rasta Ho Jahañ Qabre Na Ho Vahañ Chalna Jaiz He Agarche Jute Chappal Pahan Kar Ho. Or Qabro Ke Karib Me Bhi Jo Rasta Hota He Vahañ Jute Pahan Kar Bhi Na  Chale Ki Isse Qabr Wale Ko Ko eeza Pahunchti He.

Jaisa Ki Saiyedi Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,

Hamare Aulma Ne Tasreeh Farmaai Ki Qabrastan Me Jo Naya Raasta Nikala Gaya Ho Us Me Aadmiyo Ko Chalna Haram He,
فی الشامیہ عن الطحطاویۃ آخر کتاب الطھارۃ نصوا علٰی ان المرورفی سکۃ حادثۃ فیھا حرام
Aakhir Kitab Shaami Me  Tahtaawi Se He Aulma Ne Is Baat Ki Tasreeh Ki He Ki Qabrastan Me Jo Naya Raasta Nikala Gaya Ho Us Par Chalna Haram He.
*📚(Raddul Muhtar, J-1, S-228)*

Or Aage Farmate He,

Nabi E Kareem ﷺ Ne Ek Shakhs Ko Maqaabir Me Juta Pahne Chalte Dekha Irshad Farmaya, Haay Kam Bakhti Teri Ay Taaifi Jute Wale ! Fenk Apni Juti.

اخرج الائمۃ ابوداؤد النسائی والطحطاوی وغیرھم عن بشیر بن الخصاصیۃ واللفظ للامام الحنفی ان رسول اﷲ صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم رای رجلا یمشی بین القبور فی نعلین، فقال ویحک یا صاحب السبتیتین الق سبتیتیک

Abu Dawood, Nasai, Tahtawi, Wagairahum Ne Basheer Bin Khasaasya Se Riwayat Ki Or Lafz Imam Hanfi Ke He Ki RasoolAllah ﷺ Ne Ek Shakhs Ko Qabro Ke Darmiyan Jutiyañ Pahan Kar Chalte Huye Dekha To Farmaya: Kharabi Ho Teri Ay Jutiyo Wale Apni Jutiyañ Utar De.
*📚(Sharah Ma'aanil Aasar, J-1, S-342)*

Fazile Muhaqqiq Hasan Sharnablaali Or Unke Ustad Allama Muhammad Bin Ahmad Hamwi Farmate He, Chalne Me Jo Aawaz Kafshe Paa Se Paida Hoti He Amwaat Ko Ranj Deti He.

حیث قال فی مراقی الفلاح اخبرنی شیخی العلامۃ محمد بن احمد الحموی الحنفی رحمہ اﷲ تعالی بانھم یتأذون بخفتی النعال انتھی.

Is Liye Ki Maraaqil Falah Me Kaha Ki Mujhe Khabar di Mere Shaikh Allama Muhammad Bin Ahmad Hamwi Hanfi Rahmatullah Alaihi Ne Ki Murde Jutiyoñ Ki Pahchal Se Taklif Mahsoos Karte He.
*📚( Miraaqil Falah Ala Hamishul Tahtawi, Fasl Fee Ziyarate Quboor, S-342)*

*(Fatawa Razviya, J-9, S-931, 932)*

Imaam Ayni Sharah Sahih Bukhari Shareef Me Farmate He,

فیہ ذھول عماورد فی بعض الاحادیث ان صاحب القبر کان یسأل فلما سمع صریر السبتتین اصغٰی الیہ فکاد یھلک لعدم جواب الملکین فقال لہ صلی اﷲ تعالی علیہ وسلم القھما لئلا توذی صاحب القبر ذکرہ ابوعبداﷲ الترمذی.
Yaani Is Qaail Ko Yaad Na Raha Vo Jo Ek Hadees Me Aaya He Ki Qabr Wale Se Sawal Ho Raha Tha Itne Me Jootoñ Ki Pahchal Us Ne Suni Udhar Kaan Lagaye Jawab Me Der Hui, Qareeb Tha Ki Halak Ho Jaye, Saiyede Aalam ﷺ Ne Us Juta Pahan Kar Chalne Wale Se Farmaya Unhe Utar Daal Ke Murde Ko eeza Na Pahunche. Ye Hadis Abu Abdullah Muhammad Tirmizi Ne Zikr Farmai..
*📚(Umdatul Qaari Sharah Sahih Bukhari, J-7, S-48)*

*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-922)*

Or Agar Qabrastan Me Purana Rasta Ho Jahañ Qabre Na Ho To Us Par Chalna Jaiz He,

Jaisa Ki Fatawa Razviya Me He,
Qabro Par Chalne Ki Mumane'at He Na Ki Juta Pahanna Sakht Tauheene Amwaate Muslimeen He, Haañ Jo Qadeem Rasta Qabrastan Me Ho Jis Me Qabr Nahi Usme Chalna Jaiz He Agar Che Jute Pahane Ho.
*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-398)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts