Aurat Ko YouTube Par Cooking Channel Chalana Jis Me Sirf Aawaz Or Hath Dikhe

*🌹SAWAL:-🌹*
Suwal ye hai ki islami bhno Ko youtube me cooking channel chalana kesa hai kya ye jaiz hai apni awaz k sath channel chalaye ispr ulama e kiram kya kehte hai..?
Bs awaz or haath dikhte or Sirf awaz wo khud ni aati He.

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jamhoor Aulma e Kiram Bilkhuaoos Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ka Yahi Mauqif He, Ki Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He, Lihaza Is Soorat Me Bila Kisi Zaroorate Sharaiyah Ke Aurat Ki Aawaz Gair Mahram Ko Sunana Ya Us Tak Pahuchane Ka Koi Zariya Paida Karna Najaizo Haram.

Is Mas'ala Ki Roo Se YouTube Par Khane Pine Wagairah Ki Chize Banwa Kar Channel Chalana Or Usme Sirf Aawaz Or Hath Hi Dikhai Dena Yaqeenan Najaizo Haram.

Chuñki Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He, Or Aurat Ka Pura Badan Siwaye Muh Ke Takli, Dono Hatheliya Or Dono Paanw Ke In Pancha Aa'aza Ke Alawa Uska Pura Badan Bhi Aurat He, Or Uska Chhupana Zaroori He, Farz He.

Lihaza Hath Dikhane Ki Soorat Me Bhi Ye Shariyate Mutaharra Ke Khilaf Hoga, Lihaza Jab Aurat Ki Aawaz Bhi Aurat He Or Aurat Ke Hath Wagairah Bhi Aurat He, Or Un Dono Ko Chhupana Farz He To Aysi Soorat Me YouTube Channel Chalane Ki Bilkul Bhi Ijazat Nahi Hogi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲http://wa.me/+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

1 comment:

  1. Assalamu alaikum
    Humhara sawal ye hai ki


    Kya aurat us ke shohar ke hote hoye dusra nikha karsakti hai kya
    Kio Ke shohar us ka nano nafkha Ada nahi karta hai is aurat me aurat ko kya Amal karna chahiye


    Duwa ka Talib 🤲 Syed Abdul Rahaman Raza

    ReplyDelete

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts