Sunnate Mu'akkeda Or Gair Mu'akkeda Ki Takhsis

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya sunnate muakkidah wa ghair muakkidah sirf ibaadaat se mutalliq Hai?

Ibaadaat ke alawah bhi Doosre maamulaat ki sunnaton mein bhi mukkidah o ghair muakkidah ki koyi takhsees hai ya nahin?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sunnate Mua'kkeda Jise Sunnate Huda Bhi Kahte He Jiska Ma'ana Ye He Ki Aysi Sunnat Jisko Aaqa Alaihis Salam Ne Bataure Ibadat Hamesha Kiya, Haañ Kabhi Kabhi Bila Azr Tark Farmaya Ya Tark Nahi Farmaya Lekin Tarik Par Ta'an Na Farmaya.

Misal Ke Taur Par Jama'at, Azan Iqamat Wagairah Sunnate Mu'akkeda Me He..

Iska Hukm Ye He Ki Iska Tark Karne Wala Mustahiqe Malamat W itab He.

Sunane Huda Vo Sunane Mu'akkeda Jo Shuaa'ir Ka Darja Rakhti He Unke Tarikeen Par Itab Hoga. Hatta Ki Agar Kisi Shahar Me Azan, Jama'at Ke Tark Par Misr Ho To Hakime Waqt unko Taqat Ke Zariye Un Sunan Ki Da'awat De Kyu Ki Aysi Sunan Shuaa'ire Islam Hone Ki Wajah Se Ba Manzila Wajib He. Vo Sunan Jo Shuaa'ire Islam Ke Darje Par Faaiz Nahi To Unka Hukm Ye Nahi Hoga.

Imam Sarkhasi Tasreeh Karte He,

Agar Sunnate Mua'kkeda Maslan Namaze Eid, Azan, iqamat, Jama'at Koi Qaum Tark Kar Deti He To Vo Malamat W Itab Ki Mustahik Hogi Or Agar Tamam Ahle Shahar Uske Tark Par Israar Kare To To Hakime Waqt Unke Khilaf inzabti karwaai kare yahañ Tak ki Vo Use Baja Laaye Kyu Ki Ye Sunane Shuaa'ire Islam Hone Ki Wajah Se Ba Manzila Wajib He, Haañ Vo Sunan Jo Shuaa'ire Islam Me Se Nahi unka Ye Hukm Nahi Hoga.
*📚(Usoolul Sarkhasi, J-1, S-112)*


Or Sunnate Gair Mu'akkeda Jise Sunnate Zaaida Bhi Kahte He Jiska Ma'ana Ye He Ki Aysi Sunnat Jo Aap  ﷺ Se Bataure Ibadat Nahi Balki Bataure Aadat Sadir Hui Ho.

Misal Ke Taur Par Libas, Khana , Asa Pakadna, Amama Bandhna Wagairah Tarike Sunnate Gair Mu'akkeda Me He.

Iska Hukm Ye He Ki Is Par Amal Qabile Ajr W Sawab Magar Iska Tarak Karne Wala Qabile Malamat Nahi Hota.

Sunane Zawaid Par Amal Mustahsan He Kyu Ki Jo Amal Risalate Ma'aab ﷺ Ne Kiya Khwañ Bataure Ho Ya Bataure Aadat Is Amal Me Khair Hi He Balki Azraahe Muhabbat Karne Se Ummati Ke Darjaat Me Balandi Or Huzur ﷺ Ka Qurb Naseeb Hota He Magar Is Par Amal Payra Na hone wale insan par malamat nahi ki jaa sakti kyuñ ke jab nabi  ﷺ ne un sunan ka paband ummat ko nahi farmaya to ab dusre ko haq Nahi pahuchta ki vo usme Sakhti kare.

Imam Sarkhasi Tasreeh Farmate he

Sunane Zawaid Maslan Huzur ﷺ Ka Libas Mubarak, Qayam, Qa'ood, Chalna, Aaram Farmana,Unke Tark me Koi Harj Nahi Or Unki Itla'a Mustahsan He (Balki) Afzal He, Ki Aap Ki Zaate Aqdas Ki izzato Maqam Ke Peshe Nazar Bataure Muhabbat Unhe Baja laya Jaaye lekin unke tarik par malamat munasib nahi che jaaike uski mazammat ki jaye.
*📚(Usoolul Sarkhasi, J-1, S-112)*

*📚Makhuz: (USOOLE FIQH, MA'AARIFUL AHKAM, S-209-214)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts