Khatna Karna Kiski Sunnat He ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Khatna Karna Kiski Sunnat He ?

*🌹JAWAB:-🌹*


Hazrat Allama Faiz Ahmad Owaisi Alaihir Rahma Farmate He,

Sabse Pahla Kahtna Hazrat Ibrahim Alaihis Salam Ka Assi (80) Baras Ya Ek So bees (120) Saal ki umr me huva.

Shihain Bukhari w Muslim Me he,
RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya Ki Ibrahim Nabi Alaihis Salam Ne Qudoom Me Apna Khatna Khud kiya jab ki aap 80 Saal ke the.

Raddul Muhtar Me He,
Ibrahim Alaihis Salam Ne Apna Khatna Khud kiya jab ki aap 80 saal ya 120 saal ke the pahli riwayat zyada sahih he yahi aap ki nabuwat ke ibtedai dor se tha yaani nabuwat ke Aelan se taa haal 80 saal guzare or Wiladat ke 120 saal guzre, is tarah dono aqwal me tatbeeq ho gai, or qudoom jagah ka naam he ya us aala ka naam he jis se khatna kiya.

Or Aurto Me Sabse Pahle Khatna Hazrate Hajra Ka Huva,

Bibi Sara Ne Gairat Kha Kar Qasam Uthai ki vo apna hath hajra ke khoon se rangegi. Hazrat ibrahim Alaihis Salam ne farmaya ki uska khatna kardo taa ki baad ko tumhari sunnat ho or tum apni qasam se bari ho, unhone ayse kiya to sabse pahle khatna e nisaa Saiyyeda Hajra ka huva or mardo me sab se pahle Ibrahim Alaihis Salam Ne Khatna Kiya.
*Makhuz Az: 📚(Khatna Ki Tahqiq Or Ahkam, S-6,7)*

Or Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,

Khatna Sunnat He Or Ye Shuaare Islam me he ki muslim w gair muslim me is se imtiyaz hota he isi liye urfe aam me isko Musalmani bhi kahte he.

Sahih Bukhari w Muslim Me Abu Huraira RadiAllahu Anhu se marwi, RasoolAllah ﷺ ne farmaya ki Hazrat Ibrahim Khalilullah Alaihis Salato Salam Ne Apna Khatna Kiya, Us Waqt unki umr Shareef 80 Baras Ki Thi.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-16, S-232)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+9

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts