*🌹SAWAL:-🌹*
Huqqa Pina Kesa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Aysa Huqqa Jise Peene Se Nasha Chad Jaaye Ya Aql jaati Rahe, Uska Peena bhi Haram w Gunah He, Or Aysa Huqqa Jisse Munh Me Badboo Peda Ho Uska Peena Bhi Makrooh He, Or Aysa Huqqa Jis se Na Nasha Ho Or Na Badboo Ho Or Na koi Najasat Shamil Ho Uska Peena Mubah W Jaiz He.
Jaisa Ki Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahmato Ridwan Farmate he,
Huqqa Ke Muta'alliq Aulma ke Mukhtalif Aqwal he Magar Qaule Faisal ye he ki uski Muta'addid Soorate He,
Ek Ye Ki Huqqa Pee Kar Aql Jaati Rahti he Jaisa Ki Rampur, Baraily, Shahjahañ Pur, Me Ba'az Log Ramzan Shareef Me Iftar Ke Baad Khas Ahtemam Se Huqqa Bharte He Or is zor Se Dam lagate he ki chilam se Unchi unchi lo uthti he or peene wale behosh ho kar gir padte he or bahut der tak behosh pade rahte he paani ke chhinte dene or paani pilane se hosh aata he is tarah huqqa peena haram he.
Dusri Soorat ye he ki na behosh ho na aql me fitoor paida ho magar ghatya kharab Tambaku piya jaaye or huqqa taza karne ka bhi Bilkul Khayal na ho jis se munh me badboo ho jati he aysa huqqa makrooh he is huqqa ko pee kar bagair munh saaf kiye masjid me jana Mana'a he is ka wahi hukm he jo kachche lahsun, pyaz khane ka he..
Tisri soorat ye he ki tambaku bhi achcha ho or huqqa bhi baar baar Taza kiya jata ho ki peene se munh me badboo Na Paida Ho Ye Mubah he is me aslan karahat nahi.
Ba'az Logo ne huqqa ke haram batane me nihayat guloo kiya or had se tajawuz kiya yahañ tak ki is ke Muta'alliq hadise bhi Ma'azAllah Waza'a kar daali unki baate qabile aitbar Nahi.
*📚(Bahare Shariyat Application, H-17, S-14)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
📲http://wa.me/+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:
Post a Comment