Likorya Zada Khatoon Ko namaz Ka Kya Hukm He ? Unko Mazi Har Waqt Aati Rahti He Or Mani Thodi thodi der aati he ? Ayse me namaz kese ada kare ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Soorate Mas'ula me khatun ma'azoor he ma'azoor ke ahkaam daarj zail hai,
Har Vo Shakhs Jiskko Aysi Koi Bimari He Ki Ek Waqt Pura Aysa Guzar Gaya Ki Wuzu Ke Sath Namaze Farz Ada Na Kar Saka Vo Mazooor He Uskaa Bhi Yahi Hukm He Ki Waqt Me Wuzu Karle Or Aakhir Waqt Tak Jitni Namaze Chahe Us Wuzu Se Padhe. Us Bimari Se Uska Wuzu Nahi Jata Jaise Qatre Ka Marz Ya Dast Aana Ya Hawa Kharij Hoona Ya Dukhti Aankh Se Paani Girna Ya Fode Ya Nasoor Ss Har Waqt Ratoobat Bahna Ya Kaan Naak Ya Chhati Se Paani Nikalna Ki Ye Sab Bimariya Wuzu Todne Wali He Unme Jab Pura Ek Waqt Guzar Gaya Ki Har Chand Koshish Ki Magar Taharat Ke Sath Namaz Na Padh Saka To Ye Majboori Hogi Oe Mazoor Samjha. Jayega.
Jab Uzr Saabit Ho Gaya To Jab Tak Har Waqt Me Ek Baar Bhi Ye Cheez Paai Jaaye Mazoor Hi Rahega, Jaise Aurat Ko Ek Waqt To Istehaza Ne Taharat Ki Mohlat Di Ab Itna Mauka Milta He Ki Wuzu Karke Namaz Padhle Magar Ab Bhi Ek Aadh Baar Har Waqt Me Khun Aa Jata He To Ab Bhi Mazoor He, Yuhi Tamam Bimariyon Me. Or Jab Pura Waqt Guzar Gaya Or Khun Nahi Aaya To Ab Mazoor Na Rahi Jab Fir Kabhi Pahli Halat Paida Ho Kaye Fir Mazoor He Uske Baad Fir Agar Pura Waqt Khali Gaya To Uzr Jata Raha.
Farz namaz ka waqt jaane se ma'azoor ka wuzu tut jata he jaise kisi ne asar ke waqt wuzu kiya tha to aaftab ke dubte hi wuzu jata raha or agar kisi ne aaftaab nikalne ke baad wuzu kiya to jab tak zuhar ka waqt khatam na ho wuzu na jayega ki abhi tak kisi farz namaz ka waqt nahi gaya.
Ma'azoor ko aysa azr he jis ke sabab kapde najis ho jate he to agar eo dirham se zyada najis ho gaya or janta he ki itma mauqa'a he ki use dhho kar namaz padhna farz he or agar janta he ki namaz padhte padhte fir itna hi najis ho jayega to dhona zaroori nahi usi se padhhe agarche musalla bhi aaaluda ho jaye kuchh haarj nahi or agar dirham ke barabar he to pahli Soorat me dhona wajib or dirham se kam he to sunnat or Dusri soorat me Mutlaqan na dhone me koi harj nahi.
*📚(Bahare Shariyat, J-2, Istehaza Ka Bayan)*
Lihaza Jis Khatoon Ko Likorya Ki Bimari Ho Agar usko har namaz ke waqt me rutoobat aati he to vo har namaz ke waqt ke liye wuzu kare, or usse vo farz w sunano nawafil ada kar sakti he fir jab waqt chala jaaye To Dusra waqt shuru hote vo dusra wuzu karle.
Isi Tarah Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Ka Farman He.
http://jamiaturraza.com/session/20Apr14/16.mp3
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mukhtar Ahemad Ziyai Faizi Sahab Qibla*
*📬Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarva, Gujarat*
*🗓️6 May 2020, 12 Ramzanul Mubarak 1441 Hijri*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
Bahare Masail Baharemasail
Bahare Masail Baharemasail
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment