Namaze Hajat Ka Tariqa

*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Hadrat Hajat Ki Namaaz Kaise Padhi Jati Hai Aor Kitne Rakat Ki Hoti Hai Aor Kis Waqt Me Padha Ja Sakta Hai

*🌹JAWAB:-🌹*

Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate He,

Abu Dawood Huzaifa RadiAllahu Anhu Se Raavi, Kahte He, Jab Huzure Aqdas ﷺ Ko Koi Amre Aham Pesh Aata To Namaz Padhte.

Is Ke Liye 2 Raka'at Ya 4 Padhe.

Hadees Me He, Pahli Raka'at Me Surah Fatiha Or 3 Baar Aayatul Kursi Padhe Or Baaqi 3 Raka'ato Me Surah Fatiha Or Surah Ikhlaas W Surah Falaq W Surah Naas, Ek Ek Baar Padhe,

To Ye Aysi Hai Jaise Shabe Qadr Me 4 Raka'ate Padheñ. Mashaaikh Farmate Hai, Ki Ham Ne Ye Namaz Padhi Or Hamari Hajateñ Puri Hui.

Ek Hadees Me He Jisko Tirmizi W Ibne Maaja Ne Abdullah Bin Aof RadiAllahu Se Riwayat Kiya, Ki Huzur ﷺ Farmate Hai, Jis Ko Koi Haajat Allah Ki Taraf Ho Ya Kisi Bani Aadam Ki Taraf To Achchi Tarah Wuzu Kare Fir Do Raka'at Namaz Padh Kar Allah Azwajal Ki Sana Kare Or Nabi  ﷺ Par Durood Bheje Fir Ye Padhe.
لا إِلٰهَ إِلَّا ﷲُ الْحَلِيْمُ الْکَرِيْمُ، سُبْحَانَ اﷲِ رَبِّ الْعَرْشِ الْعَظِيْمِ، الْحَمْدُ ِﷲِ رَبِّ الْعَالَمِيْنَ، اَللَّهُمَّ إِنِّیْ أَسْأَلُکَ مُوْجِبَاتِ رَحْمَتِکَ وَعَزَائِمَ مَغْفِرَتِکَ وَالْغَنِيْمَةَ مِنْ کُلِّ بِرٍّ وَالسَّلَامَةَ مِنْ کُلِّ إِثْمٍ، أَسْأَلُکَ أَنْ لَا تَدَعَ لِیْ ذَنْبًا إِلَّا غَفَرْتَهُ وَلَا هَمًّا إِلَّا فَرَّجْتَهُ وَلَا حَاجَةً هِیَ لَکَ رِضًا إِلَّا قَضَيْتَهَا یا ارحم الراحمین۔
(Tarjama: Allah Ke Siwa Koi Ma'abood Nahi Jo Haleem W Kareem He, Paaak He Allah, Maalik He Arshe Azeem Ka, Hamd He Allah Ke Liye Jo Rab He Tamam Jahañ Ka, Me Tujh Se Teri Rahmat Ke Asbaab Maangta Huñ Or Talab Karta Huñ Teri Bakhshish Ke Zaraaye'a Or Har Neki Se Ganimat Or Har Gunah Se Salaamati Ko Mere Liye Koi Gunah Bagair Magfirat Ma Chhod Or Har Gam Ko Door Karde Or Jo Haajat Teri Raza Ks Mawaafiq He Uss Pura Karde, Ay Sab Maherbano Se Zyada Maherban.)
*📚(Jameul Tirmizi, Abwaabul Witr, Baab Maja Fee Salatul Hajah, Hadees-478, Jild-2, S-21)*

Tirmizi Ba-faada E Tahsin W Tasheeh W Ibne Maaja W Tabraani Wagairahum Usman Bin Haneef RadiAllahu Anhu Se Raavi, Ki Ek Sahab Naabina Hazir Khidmate Aqdas Huve Or Arz Ki, Allah Se Duaa Kijye Ki Mujhe Aafiyat De, Irshad Farmaya Agar Tu Chahe To Duaa Karuñ Or Chahe Sabar Kar Or Ye Tere Liye Bahetar He. Unhone Arz Ki, Huzur ﷺ Duaa Kareñ Unhone Hukm Farmaya: Ki Wuzu Karo Or Achcha Wuzu Karo Or 2 Raka'at Namaz Padh Kar Ye Duaa Padho.

'’اللّھم اِنيّ أَسْئَلُکَ وَ أَتَوَجَّہ اِلَیْکَ بِنَبِیِّک مُحَمَّدٍ نَبِيّ الرَّحْمَۃ یَا مُحَمَّد اِنيّ تَوجّھت بِکَ اِلیٰ رَبيّ فِي حَاجَتِي ھٰذہ ، فَتَقضي لِي اَللّٰھُم شَفّعہٗ فيّ‘‘
(Tarjama: Ay Allah Me Tujhse Sawal Karta Huñ Or Tawassul Karta Huñ Or Teri Taraf Mutawajjah Hota Huñ Tere Nabi Muhammad ﷺ Ke Zariye Se Jo Nabi Rahmat Hai Ya RasoolAllah ﷺ!! Me Huzur ﷺ Ke Zariye Se Apne Rab Ki Taraf Is Hajat Ke Bare Me Mutawajjah Hota Huñ Taaki Meri Haajat Puri Ho. Ilaaha Unki. Shafa'at Mere Haq Me Qubool Farma.)

Usmaan Bin Haneef RadiAllahu Anhu Farmate Hai, Khuda Ki Qasam ! Ham Uthne Bhi Na Paaye The, Baateñ Hi Kar Rahe The Ki Vo Hamare Paas Aaye, Goya Kabhi Andhe The Hi Nahi.
*📚(Sunan Ibne Maaja, Hadees-1389, Jild-2, S-156)*
*📚(Jameul Tirmizi, Hadees-3589, Jild-5, S-336)*

*📚(Bahare Shariyat, Hissa-4, Namaze Haajat)*

In Ahadise Karima Me Namaze Hajat Ka Tariqa Bayan Kiya Gaya He, Inme Se Kisi Bhi Duaa Ko Padh Sakte He, Puri Tarah Khushu'a W Khuzu'a Ke Sath Is Tariqa Par 2 Ya 4 Raka'at Namaz Padh Kar Huzure Aqdas  ﷺ Par Duroodo Salam Padh Kar Jo Bhi Hajat Ho Allah Ki Bargah Me Arz Kare, InshaAllahul Azeez Haajat Puri Hogi. Makrooh Awqaat Ke Siwa Kisi Bhi Waqt Me Padh Sakte He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️19 June 2020, 26 Shawwal 1441*
📲+918

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Aurtoñ Ko Artificial Jewellery Pahanna Jaaiz nahiñ...

 *🌹SAWAL:-🌹* Assalamu Alaikum  Muftiyan E Ikram Ki Baargha Mai Ek Sawal Arz Hai Kya Aurten Artificial Jewellery Pahen Sakti Hai??? *🌹JAWA...

Popular Posts