Jarsi Gaay Ki Qurbani Ka Hukm

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat. Kya Jarsi Gay Ki Qurbani Jaiz H Rahnumai  Farmayen

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jarsi Gaaye Ki Qurbani Jaaiz He, Jab Ki Gaay Ke Pet Se Paida Hui Ho, Kyuñ Ki Janwaroñ Me Maañ Ka Aitbar Hota He.

Jaisa Ki Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate He,
Maadah Jab Halaal He To Bachcha Bhi Halaal He Ki Janwaroñ Me Nasab Maañ Se He Na Baap Se
 وھو الصحیح کما فی الہدایۃ وغیرھا
*📚(Fatawa Razviya, J-21, S-636)*

Fatawa Barkatiya Me He,
Jarsi Gaaye Or Beyl Jab Ki Gaaye Ke Pet Se Paida Huve Hai To Uski Qurbani Karna, Unka Gosht Khana, Jaaiz He Or Jarsi Gaaye Ka Doodh Peena Bhi Jaaiz He. Is Liye Ki Janwaroñ Me Maañ Kka Aitbar He.
*📚(Fatawa Barkatiya, S-229)*

Or Isi Tarah Fatawa Bahrul Uloom Me He,
Jarsi Gaaye Ke Baare Me Hamari Koi Tahqeeq Nahi. Suna Jata He Ki Nar Khinzeer Se Jaftee Ke Nateeja Me Hi Ye Nasl Wujood Me Aati He, Agar Waqe'ee Yahi Ho To Bhi Jarsi Gaaye Or Uska Doodh Halaal He Ki Shariyat Me Janwaroñ Ka Nasab Maañ Ki Taraf Se Mana Jata He, Maañ Gaaye He To Uska Bachcha Bhi Gaaye Hi He. Jo Hukm Uska Wahi Hukm Bachcha Ka, Baap Halaal Janwar Ho Haraam Isse Koi Farq Nahi Padta.
*📚(Fatawa Bahrul Uloom J-5, S-342)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 July 2020, 29 Zilqad 1441*
📲+91

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts