Watan Se Muhabbat Imaan Ka Hissa He Hadees Nahi

*🌹SAWAL:-🌹*
Watan Se Muhabbat Iman Ka Hissa He Kya Is Tarah Ki Koi Hadees He ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
حب الوطن من الایمان
(Watan Se Muhabbat Iman Ka Hissa He) Na Hadees Se Sabit Na Hargiz Iske Ye Ma'ana.

Imam Badruddin Zarkashi Ne Apne Juz Or Imam Shamshuddin Sakhaavi Ne Maqaaside Hasna Or Imam Khatimul Huffaz Jalaluddin Suyuti Ne Al-Durrul Muntashirah Me Bil-ittefaq Is Riwayat Ko Farmaya: Me Is Se Aagah Nahi Ho Saka.
*📚(Al-Maqaaside Hasnah Lil Sakhaavi, Hadees- 386, S-109)*

Aage Farmate Hai,

Vo Watan Jis Ki Muhabbat Iman Se He Watane Asli He Jahañ Se Aadmi Aaya Or Jahañ Jana He.
کن فی الدنیا کانک غریب اوعابرسبیل
وحسبنا اﷲ ونعم الوکیل
Yaani Dunya Me Is Tarah Raho Jaise Ajnabi Ho Ya Musafir, Or Hamare Liye Allah Ta'ala Kaafi He Or Wahi Sabka Kaarsaaz He.
*📚(Kanzul Ummal, Hadees-6127, J-3, S-196)*
*📚(Quraan Kareem, Surah-3, Aayat-173)*
*📚(Fatawa Razviya Jadeed, J-15, S-290)*

Or Muhaddiseen Ne Ise Mauzu Qaraar Diya He,
Jaisa Ki Mauzuaate Kabeer Me Hazrat Mulla Ali Qaari Hanfi Alaihir Rahma Likhte Hai,
وَأَمَّا حَدِيثُ «حُبِّ الْوَطَنِ مِنَ الْإِيمَانِ» فَمَوْضُوعٌ،
*📚(Mirqaatul Mafaateeh Sharah Mishkatul Masaabeeh, J-3, S-1158)*

Or Huzur Hakeemul Ummat Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Taherir Farmate Hai,
Sufya Jo Farmate Hai Ki
 حُبِّ الْوَطَنِ مِنَ الْإِيمَانِ
Yaani Watan Ki Muhabbat Imaan Ka Rukn He, Wahañ Watan Se Murad Jannat He Yaani Asli Watan Ya Madina Munawwara Ki Vo Momin Ka Ruhani Watan He.
*📚(Miratul Manaajeeh, J-2, S-431)*

Lihaza Is Tarah Ka Qaul Ki Watan Ki Muhabbat Imaan Ka Hissa He Huzur ﷺ Se Sabit Nahi, Ise Muhaddiseen Ne Mauzu Qaraar Diya He, Haañ Sufiya E Kiraam Se Is Tarah Ka Qaul Saabit He Lekin Iska Hargiz Vo Ma'ana Nahi Jo Awaam Leti He, Balki Watan Se Murad Watane Asli He, Jahañ Se Aadmi Aaya Or Jahañ Marne Ke Baad Jana He, Ya Madina Munawwara Jo Momin Ka Ruhani Watan He. Lihaza Is Qaul Ki Nisbat Huzur ﷺ Ki Taraf Karna Ya Ise Hadees Kahna Hargiz Munasib Nahi.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓14 Aug 2020, 23 Zilhijja 1441*
📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts