Ladki Ka Status Par Be Parda Photo Rakhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Hazrat Ek Ladki Hai Status Pr Bepardagi Jaise Bal Khol Kr Photo Rakhti H Or Sab Ladke Ladkiya Iska Status Dekhte H To Aisa Kuch Bataye Jo Mai Ise Bheju Taki Aayinda Ye Aise Pic Status Pr Na Rkhe


*🌹JAWAB:-🌹*

Aurat Aurat He Yaani Chhupane Ki Cheez He, Gair Maheram Ke Samne Be Parda Hone Wali Aurtoñ Par Azabe Ilahi Ki Kai Saari Waide He, Or Aysa Karne Wali Aurateñ Sakht Gunahgar Azabe Ilahi Ke Haqdar He. Parde Ka Hukm Qura'an Majeed Or Ahadise Mubaraka Se Sabit He. Aurat Ko Apne Jisme Ke Aa'aza Ko Gair Ke Samne Dikhana Agarche Mobile Ya Internet Ke Zariye Ho Sakht Najaizo Haram, Bad Kaam Bad Anjam He, Azabe Ilahi W Laanat Ki Haqdar Or Sakht Jahalat He.


Jaisa Ki Qura'an Majeed Me Rab Tabarak W Ta'ala Ka Irshad He,

 وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَىٰ

Yaani Apne Gharo Me Thahri Raho, Or Be Parda Na Niklo, Jaise Agli Jahiliyat Ki Be Pardagi.

*📚(Surah Ahzab, Aayat-33)*


Hazrat Allama Saiyed Naeemuddim Muradabadi Alaihir Rahma Farmate Hai,

Agli Jahiliyat Se Murad Qable Islam Ka Zamana He, Us Zamana Me Aurteñ Itrati Nikalti Thi, Apni Zeenat W Mahasim (yaani Banaw Singhar Or Jism Ki Khubiyan Maslan Seene Ke Ubhaar Wagairah) Ka Izhar Karti Thi Ki Gair Mard Dekheñ. Libas Ayse Pahanti Thi Jin Se Jism Ke Aaza Achchi Tarah Na Dhakeñ.

*📚(Khazainul Irfan)*


Afsos Maujuda Daur Me Zamana E Jahiliyat Wali Be Pardagi Paai Jaa Rahi He. Or Qura'an Ki Mukhalifat Karti He.


Or Dusri Jagah Allah Tabarak W Ta'ala Ka Farman He,


وَقُل لِّلْمُؤْمِنَاتِ يَغْضُضْنَ مِنْ أَبْصَارِهِنَّ وَيَحْفَظْنَ فُرُوجَهُنَّ وَلَا يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا مَا ظَهَرَ مِنْهَا ۖ وَلْيَضْرِبْنَ بِخُمُرِهِنَّ عَلَىٰ جُيُوبِهِنَّ ۖ وَلَا يُبْدِينَ زِينَتَهُنَّ إِلَّا لِبُعُولَتِهِنَّ....

Or Musalaman Aurtoñ Ko Hukm Do Apni Nigaheñ Kuchh Nichi Rakheñ Or Apni Paarsaai Ki Hifazat Kareñ Or Apna Banaw Na Dikhaye Magar Jitna Khud Hi Zahir He Or Vo Dupatte Apne Girebanoñ Par Daale Raheñ, Or Apna Singhar Zahir Na Kareñ Magar Apne Shoharoñ Par.....

*📚(Surah Noor, Aayat-31)*


Or Mafhoome Hadees He Ki, 

Nabi E Kareem ﷺ Farmate Hai Ke,

Sabse Buri Aurte Wo Hai Jo Bepardgi Kare Aur Takabbur Se Chalne Wali Ho, Ye Us Ummat Ke Munafiqat Hai, Aur Ye Wo Hai Jo Jahnnum Me Kavve Ki Tarah Chikhti Hui Dakhil Ho Jayengi.

*📚(Baihaqi)*


Un Auraton Par Jahannam Me Sakht Kode Mare Jayenge Jo Kapda Pehne Huye Bhi Barhana Nazar Aati Hain.

*📚(Muslim Sharif)*


Hazrat Imam Ahmad Bin Hajar Makki Shafei Rahmatullah Alaihi Naql Farmate He, Meraaj Ki Raat Sarware Kaainat  ﷺ Ne Jo Baaz Aurtoñ Ke Azab Ke Holnaak Manazir Mulahiza Farmaye Unme Se Ye Bhi Tha Ki Aurteñ Baaloñ Se Latki Hui Thi Or Us Ka Dimag Khaul Raha Tha. Sarkar ﷺ Ki Khidmate Sarapa Shafqate Arz Ki Gai Ki Ye Aurteñ Apne Baaloñ Ko Gair Mardo Se Nahi Chhupati Thi.

*📚(Az-Zawajiru Anil Iqtirafil Kabaair,  J-2, S-97,98)*


RasoolAllah ﷺ Ka Ka Azeem Farman Jiska Ta'alluq Meraaj Ki Shab Se He, Jab RasoolAllah ﷺ Ne Jahannam Ka Mushahidah Kiya Tha, Rasoole Akram ﷺ Ko Jahannam Ka Mushahidah Karte Huve Chand Manazir Nazar Aaye, Aapne Vo Bayan Kiye Hai,  Bayhaqi Ne Usko Bayan Kiya He, Ibne Hajar Ne *📚Azzwajir, J-2, S-15* Me Likha He,


RasoolAllah ﷺ Farmate Hai, Fir Mera Guzar Ek Ghaddhe Ke Paas Se Huva Jis Se Badboo Aa Rahi Thi. Bahut Bada Gadha Tha Us Se Bahut Zyada Boo Aa Rahi Thi. Or Badi Shadeed Aawazeñ Mujhe Aa Rahi Thi, Haay Haay Ki Or Badi Dukh Bhari Aawazeñ Or Badi Karaahati Hui Aawazeñ Mujhe Aa Rahi Thi. Mene Jibrail Se Puchha, Ay Jibrail Ye Kon He ? To Hazrat Jibrail Alaihis Salam Ne Kaha, Ye Tumhari Ummat Ki Vo Aurteñ Hai Ki Jinhone Halaal Zeenat Ko Chhod Kar Haraam Zeenat Ikhtiyar Ki. 


Jis Had Tak Shariyat Mutaharrah Me Jaaiz Tha, Usse Tajawuz Kar Gai Us Se Aage Nikal Gai. Or Bhi Kai Ahadise Mubarika He Jisme Be Parda Aurtoñ Par Sakht Azabe Ilahi Hota He.


Lihaza Musalman Aurto Ko Chahiye Ki Apna Parda Kare, Or Be Parda Apne Photos Social Media Par Share Karna Bahut Hi Bura He Ki, Isme Dunyavi Aitbar Se Bhi Kai Kharabiya Ki Log Un Photos Ka Galat Istemal Kar Sakte Hai, Or Aysa Hota Bhi He Or Apne Photos Share Karne Me Tasweer Banane Ka Jo Azaab He Vo Bhi Sakht Azab He Jisla Zikr Ahadise Mubarika Me Warid He. Or Be Parda Apne Baalo Ko, Chahere Ko Or Dusre Aa'aza Ko Gair Ke Samne Dikhana Sakht Gunah Ka Kaam Or Aysa Azab Jise Sun Kar Dil Kaanp Jaaye. Lihaza Allah Ke Azab Se Dare Or Shariyat Ki Had Me Rah Kar Social Media Wagairah Ka Istemal Kare.. Allah Ham Sabko Shariyate Mustafa Par Or Hamari Aurtoñ Ko Hazrate Fatimatuz Zahra RadiAllahu Anha Ki Seerate Mubarika Par Amal Karne Wala Banaye.. Aameen Summa Aameen

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓23 Sep 2020, 5 Safar 1442*

📲+918


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts