*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Corona Virus Ke Chalte Wahabi Deobandi Wagairah BadMazhab Ki Tanzeem Ki Taraf Se Free Me Dawai Ilaj Wagairah Karate Hai Sunni Hazraat Ko Isse Faaidah Uthana Kaisa ? Tafsili Ba-hawala Jawab Inayat Farmayeñ
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Corona Ho Ya Koi Wabai Marz Ho, Wahabiya Dayabana Garz Ye Ki Jitne Bhi BadMazhab Or Gustakhane Shane Risalat Or Shane Uloohiyat He, In Logo Se Ta'awwun Hasil Karna Or Unki Madad Lena, Kisi Bhi Shaql Me Ho, Ye Kisi Tarah Jaaiz Nahi. Balki Sunni Musalmanoñ Par Laazim He Ki Vo Rifaahe Aam Ke Liye Apni Ek Aysi Tanzim Qaaim Kare Jisse Vo Sunni Musalmanoñ Ko Faaidah De Sake. Garz Ye Ki In BadMazhabo Or Be-deeno Se Kisi Bhi Tarah Ki Imdad Hasil Karna Shar'an Jaaiz Nahi.
Allah Ke Rasool ﷺ Ne Farmaya,
إنا لا نستعين بالمشركين فی شیء من الامور.
Ki Ham Mushrikoñ Se Madad Nahi Hasil Karte Hai Apne Kisi Bhi Deeni Muaamlat Me.
To Jab Mushrik Se Madad Lene Ke Baare Me Huzur ﷺ Ka Ye Irshad He To Fir Ye Gustakhane Risalat W Uloohiyat Inka Hukm To Mushrikeen Se Bhi Badtar He.
Or Unse Door Rahne Ka, Inke Kareeb Na Aane Ka To Allah Ke Rasool ﷺ Ne Muta'addid Hadees Me Hukm Farmaya. Or Inka Yahi Makr Or Yahi Daaw Shuru Se Raha He, Ki Vo Log Garib Musalmanoñ Ko Daame Fareb Me Faasne Ke Liye Kisi Bhi Tarah Ki Chaal Baziya Or Scheme Apnate Hai, Ki Garib Musalman Unke Ehsan Tale Dab Jaye Or Fir Unka Makr Chal Jaye,
Alawa Azeeñ Aysi Soorat Me In Logo Se Madad Hasil Karna To Ek Taraf Raha, Khilafe Shara'a Umoor Bhi Bahut Se Karne Padeñge, Maslan Salam Kalam, In Logo Se Hath Milana, Or Un se Yarana Mulaqat Karna, Wagairah Wagairah... Or Ye Tamam Cheeze Shariyat Me Najaaizo Haram He.
BadMazhabo Ke Sath Turshdohi Se Pesh Aana Wajib He, Inse Ta'alluqat Rakhna Dostana Mel Milap Wagairah Sab Najaaizo Haram He.
Or Khas Hazrate Umar Radiallahu Anhu Ka Ek Waqeaa Bhi Isme Hamare Liye Muaawin He, Ki Aap Ke Zamane Me Hazrate Abu Musa Ash'ari Radiallahu Ta'ala Anhu Ko Ek Muharrir Ki Zaroorat Pesh Aai To Ek Majoosi Jo Hisab Me Or Muharriree Me Taaq Tha Uska Naam Hazrate Umar Radiallahu Anhu Se Zikr Kiya Or Uski Takarruri Ke Liye Aapse Shifarish Ki. Hazrate Umar Radiallahu Anhu Ne Sakhti Se Mana'a Farma Diya, To Hazrate Abu Musa Ash'ari Radiallahu Anhu Ne Arz Ki Huzur Hame To Sirf Iski Muharriree Se Or Iske Hisab Kitab Se Garz He. Hame Uske Deen Se Koi Lena Dena Nahi. Aapne Farmaya ki jise allah ne zalil kya me use izzat nahi de skata. Agar Vo Nahi Rahega Tab Tum Kya Karoge ? Jo Jab Karoge Vo Abhi Karo.
To Ye To Hazrate Umar Ka Irshad Us Zamane Ke Liye Tha Jabki Islam Ko Bala Dasti Thi Or Usko Sirf Ek Naukri Jisme Vo Mahkoom Or Tabe'a Hota He Us Tak Aapne Gawara Na Farmaya To Aaj To Islam Ki Quwwato Shokat Ka Daur He Nahi. Aaj To Musalmano Ki Zabu Haali He, Us Waqt Musalmano Ka Iman Qamil Tha Aaj Musalmano Ka Iman Kamzor He. Vo Ek Muharriree Jo Ek Naukri Thi Or Yaha Par Inse Dawai Free Lena Ye Inka Ehsan Hoga, Jab Us Zamane Me In Halaat Me Hazrate Umar Radiallahu Anhu Ne Ye Gawara Nahi Kiya To Aaj Ke Ayse Halaat Me In Logo Ki Ye Imdad, Inko Musalmanoñ Par Sunniyo Par Bala Dasti Or Ehsan Ho; Kyuñ Kar Gawara Kiya Jaye.
Lihaza Ye Kisi Tarah Jaaiz Nahi, Sunni Musalmanoñ Par Lazim He Ki Apni Sunni Tanzim Qaaim Kare Or Sunni Musalmanoñ Ki Imdad Kare.W
WallahuAa'alam Bis-Sawab
*🎙️Audio Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Khadim Tadriso Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujarat*
*🗓️20 March 2021, 6 Shaban 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment