*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Mayyeet Ko Dafan Karne Ke Waqt Qabar Me Pani Nikal Gaya Rukne Wala Nahi Is Surat Me Kya Kiya Jay Jawab Inayat Farmayen Meharbani Hogi
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Agar Qabr Se Paani Nikal Raha Ho Band Hi Na Hota Ho To Dusri Jagah Qabar Khod Kar Dafn Karde, Agar Ye Mumkin Na Ho Or Koi Jagah Na Ho To Is Soorat Me Majboor He Lihaza Mayyat Ko Lakdi Ke Sandooq Me Rakh Kar Dafn Karde.
Jaisa Ki Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Qabar Do Qism He, Lahad Ki Qabar Khod Kar Us Me Qibla Ki Taraf Mayyat Ke Rakhne Ki Jagah Khodeñ Or Sandooq Vo Jo Hindustan Me Umooman Raaij He, Lahad Sunnat He Agar Zameen Is Qabil Ho To Yahi Kareñ Or Narm Zameen Ho To Sandooq Me Harj Nahi.
*📚(Fatawa Hindiya, J-1, S-165)*
Taboot Ke Mayyat Ko Kisi Lakdi Wagairah Ke Sandooq Me Rakh Kar Dafan Kareñ Ye Makrooh He. Magar Jab Zaroorat Ho Maslan Zameen Bahut Tar He To Harj Nahi Or Is Soorat Me Taboot Ke Masaarif Usme Se Liye Jayeñ Jo Mayyat Ne Maal Chhoda.
*📚(Fatawa Hindiya, J-1, S-166)*
*📚(Durre Mukhtar, J-3, S-165)*
Agar Taboot Me Rakh Kar Dafn Kareñ To Sunnat Ye He Ki Usme Mitti Bichha Deñ Or Daahne Baayeñ Khaam (yaani Kachchi) Inteñ Laga Deñ Or Upar Kahgal (yaani Mitti Ki Lipaai) Kar Deñ Garz Ye Ki Andar Ka Hissa Misl Lahad Ke Ho Jaye Or Lohe Ka Taboot Makrooh He Or Qabar Ki Zameen Narm Ho To Dhul Bichha Dena Sunnat He.
*📚(Raddul Muhtar, J-3, S-165)*
*📚(Bahare Shariyat, J-1, H-4, Kabro Dafan Ka Bayan, S-843)*
Lihaza Mayyat Ko Lakdi Ke Sandooq Me Rakh Kar Dafn Karde, Or Sandooq Ko Bhi Misle Lahad Yaani Sandooq Ke Niche Mitti Or Upar Mitti Se Lipaai Or Dono Taraf Kachchi Int Rakhde.
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓4 Oct 2020, 16 Safar 1442*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment