Udhar De Kar Zaaid Raqam Lena Kesa

 *🌹SAWAL:-🌹*

السلام علیکم 

Agar Koi Sunni Bhai Kahe Ke Muje Abhi 20000 De Me Tuje Thode Dino Baad 25000(5000 Jyada) Dunga . Kya Esa Karna Jaiz He?

Or Agar Koi Gairmuslim Paise Mange Or Thode Dino Baad Jyada Dene Ka Vada  Kare To Kya Usko Paise Dena Or Usse Jyada Lena Jaiz He?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎


Musalman Ko Udhar De Kar Zaaid Raqam Lena Sood He Jo Najaaizo Haram He, Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat Me He,


Pandrah Hazar (15000) Rupya Bataure Qarz Is Shart Par Dena Ki Pandrah Hazar Ka Bees Hazar (20000) Luñga Ye Qarz De Kar Nafa'a Hasil Karna He Jo Sood He. Sood Lena Or Dena Dono Haram He.


Khuda E Ta'ala Ka Irshad He,

حَرَّمَ الرِّبَا

*📚(Parah-3, Surah Baqrah, Aayat-275)*


Or Hadees Shareef Me He,

كل قرض جر منفعة فهو ربا

Yaani Qarz De Kar Nafa'a Hasil Ho Vo Sood He.

*📚(Sunan Bayhaqi, J-5, S-573)*


Or Sood Ka Gunah Bahut Sakht He. Hadees Shareef Me He,

الربواسبعون جزٕ ایسرھاان ینکح امہ

Yaani Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya, Sood (ka Gunah) Ayse Sattar Gunahoñ Ke Barabar He Jin Me Sabse Kam Darja Ka Gunah Ye He Ki Mard Apni Maañ Se Zina Kare. Al-AyazoBillah

*📚(Mishkat Shareef, S-242)*


Or Hadees Shareef Me He,

لعن رسول اللہ صلی اللہ تعالی علیہ وسلم آکل الربا 

Yaani Huzur ﷺ Me Sood Lene Waloñ Par La'anat Farmai.

*📚(Sunan Bayhaqi, J-5, S-451)*


Or RasoolAllah ﷺ Ne Irshad Farmaya,

درھم ربوایاکلہ الرجل وھویعلم اشد من ستة وثلثین زنییة

Yaani Sood Ka Ek Dirham Jo Aadmi Jaan Bujh Kar Khaye Uska Gunah Chhattis (36) Baar Zina Karne Se Zyada He.

*📚(Musnad Imam Ahmad Bin Hambal, J-6, S-296)*


Lihaza Pandrah Hazar Jo Bataure Qarz Diya He Sirf Usi Ko Le Usse Zyada Hargiz Na Le Agar Le Liya Ho To  Wapas Kare. Agar Vo Aysa Na Kare To Sab Musalman Uska Boycott Kare.

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-204)*


Kafir Harbi Se Zaaid Raqam Lena Sood Nahi, Jaisa Ki Fatawa Faqihe Millat Me He,


Yahañ Ke Kafir Harbi Hai Or Musalaman W Harbi Ke Darmiyan Sood Nahi.

کاما فی الحدیث النبوی لا ربا بین المسلم و الحربی۔

Lihaza Yahañ Ke Kafiroñ Ko Udhar De Kar Bilashubah Nafa'a Le Sakte Hai, Magar Sood Samajh Kar Na Le Balki Maale Mubah Samajh Kar Leñ. 


Huzur SadrushShariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai, 

Jaaiz He Jab Ki Unheñ Mahdood Rakhe Agar Khuda Nakhwastah Uski Aadat Pad Jaye Ki Musalamanoñ Se Bhi Isi Tarah Karne Lage To Najaaizo Haram He.

*📚(Fatawa Amjadiya, J-3, S-228)*


Or *📚(Fatawa Mustafiya, S-427)* Par He,

Kisi Musalman Ya Kafir Zimmi Or Mustamin Ko Qarz De Kar Us Par Koi Nafa'a Lena Sood He. Kafir Harbi Se Liya Jayega To Sood Nahi Hoga.

*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-209)*


Lihaza Musalman Ko 20000 Rupya De Kar Us Par Zaaid Raqam Lena Yaani 25000 (500 Zyada) Lena Sood He, Jo Najaaizo Haram He. Or Harbi Kafir Ko Qarz De Kar Nafa'a Hasil Karna Jaaiz He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓6 Oct 2020, 18 Safar 1442*

📲+91


*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Kya Lakdi Ke Koyle Se Daant Saaf Karna Jaaiz He ?

 *_Koyle Se Daant Saaf Karna Kesa?_* *🌹SAWAL:-🌹* Assalamualaikum  Hz Ek Swal Hai Ki Kya Mustafa ﷺ Ne Lakdi K Koyle Se Daant Saaf Krne Ko M...

Popular Posts