اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
*🌹SAWAL:-🌹*
Zaid Apne Ghar Se Door Nokri Karta He Wahiñ Par Rahta He. Zaid Jahañ Rahta He Vo Ek Gaañw He, Or Us Gaañw Me Jumuah Ki Namaz Bhi Hoti He. To Is Soorat Me Zaid Kya Kare ? Kya Vo Jumuah Ki Ba Jama'at Namaz Us Gaañw Me Ada Kare? Or Agar Jumuah Tarq Kardi To Kya Jumuah Chhodne Ki Jo Waeed He Usi Me Dakhil Hoga ??
2. Zaid Agar Ba Jama'at Us Gaañw Me Jumuah Ada Karle. To Baqiyah Namaz Me Niyyat Kya Kare ? Jumuah Ki Ya Zuhar Ki ?
3. Or Jo Zuhar Ki 4 Raka'at Farz He Vo Farz Ada Kare Ya Jumuah Ki 4 Sunnat Ki Niyyat Se ?
Aulma E Kiram Se Guzarish He Tafseeli Jawab Inayat Farma Kar Rahenumai Farmaye...
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sehate Jumuah Ki Ek Shart Misr He, Yaani Vo Jagah Mazhabe Hanfi Ke Mutabiq Shahar Honi Chahiye.. Lihaza Asl Mazhab Ke Mutabiq Dehaat Ya Gaañw Me Jumuah Nahi Ho Sakta... Lekin Agar Koi Dehaat Ya Gaañw Aysa He Jahañ Pahle Hi Se Jumuah Qaaim He Or Mana'a Karne Me Khaufe Fitna Ka Andesha He To Wahañ Jumuah Ki Namaz Ada Karleñ.
Majlise Sharai Ke Seminar Me Jumuah Ki Namaz Ke Ta'alluq Se Huzur Mufti Jalaluddin Ahemad Amjadi, Huzure Tajushshariya, Or Huzur Muhaddise Kabeer Tino Hazraat Ne Faisal Board Ki Hesiyat Se Faisla Saadir Farmaya Ki,
Riwayate Naadirah Ke Mutabiq Us Gaañw Ki Aabadi Itni He Ki Ahle Jumuah Wahañ Ki Badi Masjid Me Sab Jama'a Ho Jaye To Masjid Ubal Pade Or Unko Dusri Masjide Jame'a Banani Pade.. To Agar Gaañw Aysa He Jo Riwayate Naadirah Par Poora Utarta He Or Wahañ Jumuah Pahle Hi Se Jaari He To Wahañ Usko Band Na Kiya Jaye Riwayate Naadirah Ke Mutabiq Vo Bhi Sehate Jumuah Ke Liye Shahar Samjha Jayega.. Haañ Khawas Ko Hukm He Ki Apni Zuhar Ki Namaz Padhe.. Or Jo Gaañw Aysa Bhi Nahi Wahañ Jumuah Hargiz Nahi Ho Sakta.. Awam Ko Narmi Ke Sath Samjhaya Jaaye..
Lihaza Agar Mustafti Bade Gaañw Me Jaa Kar Namaze Jumuah Padhta He To Uski Namaze Jumuah Riwayate Naadirah Ke Mutabiq Ho Jayegi.. Namaze Zuhar Ki Haajat Nahi. Or Agar Chhota Dehaat Ya Gaañw He Jo Riwayate Naadirah Par Poora Nahi Utarta He Wahañ Saail Ko Namaze Zuhar Hi Ada Karni He Or Yahi Farz Bhi He.
*📚(Mulakhkhasan: Majlise Sharai Ke Faisle, S-203,204)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️16 Oct 2020, 28 Safar 1442*
*🌹Tasdiq W Tayid🌹*
*✅Al-Jawabu Sahihun: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Khadim Tadriso Ifta Darul Uloom Gause Aazam Porbandar Gujarat*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment