*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Sawal Ye Hai Ki Koi Room Ka Heavy Deposit 3Lakh Rupya Bhar Kar Rahta Hai Room Bagair Bhada Ka Hai 3Lakh Ka Zakat Nikal Na Padega Ya Nahi ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Heavy Deposit Jise Security Deposit Ya Paghdi Bhi Kaha Jata He. Lihaza Soorate Mas'ula Me Jo Heavy Deposit De Kar Room Bhade Se Rahta He Vo Paisa Usi Ka He Or Us 3 Lakh Rupyo Ki Zakat Bhi Usi Ko Deni Hogi.
Jaisa Ki Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Sahab Misbahi Fatawa Faqihe Millat Ke Hawale Se Taherir Fatmate Hai,
Security Deposit (Pagdi) Par Diye Rupye Dene Wale Hi Ke Hai Or Ye Bhi Ek Tarah Ka Qarz Hi He. Lihaza Is Par Bhi Qarz Par Di Gai Raqam Ki Tarah Zakat Wajib Hoti Rahegi.
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-322)*
*📚(Ahkame Zakat, S-20)*
Isi Tarah Sarkar Tajushshariya Alaihir Rahma Ka Bhi Farman He,
http://jamiaturraza.com/session/22Aug10/1.mp3
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️28 April 2021, 15 Ramzanul Mubarak 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment