Namaz Ke Kitni Baar Khujla Sakte He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Namaz Ke Andar Qayaam Ki Haalat Me Badan Ko Khujlana Kaisa ❓

Yaane Ke Haath Ko Ek Baar Us Jagah Rakhkar, Bina Haath Hataye Kai Baar Khujlana Yaane Kai Baar Harkat Karna Kaisa,---❓

3 Bar Se Ziyaada Khujlana Tw Kya Hukum... ❓

Aur Imam Ke Liye Kya Hukum❓


*🌹JAWAB:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Namaz Ke Kisi Rukn Me 3 Baar Is Tarah Khujaya Ki Har Baar Khuja Kar Hath Hata Liya To Namaz Fasid Ho Jayegi. Or Ek Baar Hath Rakh Kar Bagair Hath Uthaye Kai Martaba Harkat Karne Se Ek Hi Baar Khujana Shumar Kiya Jayega. 


Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Ek Rukn Me 3 Baar Khujane Se Namaz Jati Rahti He. Yaani Is Tarah Khujaya Ki Ek Martaba Khuja Kar Hath Hata Liya, Phir Dusri Martaba Khuja Kar Hath Hata Liya, Phir Tisri Martaba Khujaya To Namaz Fasid Ho Jayegi.. Or Agar Sirf Ek Baar Hath Rakh Kar Chand Martaba Harkat Di To Ek Hi Martaba Khujana Kaha Jayega.

*📚(Makhuz: Bahare Shariyat, H-3, S-156)*


Or Fatawa Razviya Me He,

Agar Halate Namaz Me Badan Ke Kisi Maqam Par Khujli Aaye To Bahetar Ye He Ki Zabt Kare Or Agar Zabt Na Ho Sake Or Uske Sabab Namaz Me Dil Pareshan Ho To Khujale Magar Ek Rukn Maslan Qayam Ya Qu'ood Ya Ruku'a Ya Sujood Me 3 Martaba Na Khujave. Sirf Do Martaba Khujane Ki Ijazat He.

*📚(Fatawa Razviya, J-3, S-446)*

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓3 May 2021, 20 Ramzanul Mubarak 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts