Zakat Or Fitra Me Kya Farq He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat
Mujhse Kisi Ne Pucha Zakat Or Fitra Or Sadka Mai Kiya Farq Hota Hai ?
Aap Thodi Tafsil Se Bayan Karde,
Rehnumayi Farmaye

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Zakat Aur Sadqa E Fitr Ya Fitra Me Kuch Farq He.

Zakat: Jo Shakhs Malike Nisab Ho Yani Sadhe Saat Tola Sona Ya Sadhe Bawan Tola Chandi Ya Usme Se Kisi Ke Barabar Raqam Ho Ya Tijarat Ka Maal Itna Ho Jo Nisab Tak Phunchta Ho, To Zakat Ayse Maal Par Farz He. 

Magar Zakat Ke Liye Sharaait He, Maal Ka Nami Hona, Nisab Tak Phunchna, Qabza Me Hona, Hajate Asliyya Se Zaaid Hona Isi Tarh Us Par Ek Saal Ka Guzrna.
 Isi Tarh Jis Par Zakat He Uske Liye Bhi Kuch Shart He Jese Aaqil, Balig, Musalman Hona.

Aur Sadqa E Fitr Ya Fitra Ke Liye Aqil, Balig Hona Isi Tarah Maal Ka Naami Hona Shart Nahi. Saal Ka Guzarna  Shart Nahi.

Bahar E Shariat Me He,
Sadqa E Fitr Har Musalman Aazad Malike Nisab Par Jis Ki Nisab Hajate Asliya Se Farig Ho Wajib He. Isme Aaqil Balig Or Maal Naami Hone Ki Shart Nahi.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan, Mas'ala-4)*

Sadqa E Fitr Ada Karne Ke Liye Maal Ka Baaqi Rahna Bhi Shart Nahi, Maal Halak Hone Ke Baad Bhi Sadqa Wajib Rahega Saqit Na Hoga. Bakhilaf Zakat W Ushr Ke Ye Dono Maal Halak Ho Jane Se Saqit Ho Jate Hai.
*📚(Bahare Shariyat, H-5, Sadqa E Fitr Ka Bayan, Mas'ala-6)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Raza Darul Ifta Khambhat Gujarat*
*🗓️11 May 2021, 28 Ramzanul Mubarak 1442*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts