Aurat Ka Kaan Or Naak Chhedna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Kaan Or Naak Chhiena Kis Ki Sunnat He ? Ya Sirf Jaaiz He. Or Awam Me Jo Ye Baat Mashhoor He Ki Kaan Ki Narm Haddi Chhedna Aurtoñ Ke Liye Sunnat He Or Is Par Ghar Wale Dabao Dalte Hai Kya Ye Sahih He ?


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,

Aurtoñ Ko Nath Ya Bulaq Ke Liye Naak Chhedna Jaaiz He Jis Tarah Baaloñ, Baaliyoñ, Kaan Ke Gahnoñ Ke Liye Kaan Chhedna..


Durre Mukhtar Me He Ki,

Ladki Ke Kaan Chhedne Me Bataure Istehsaan Koi Mazaaiqa Nahi Kiya Naak Chhedna Bhi Jaaiz He. 

*📚(درمختار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی البیع مطبع مجتبائی دہلی ۲/ ۲۵۲)*


Mene Isko Nahiñ Dekha, Lekin Allama Tahtawi Ne Farmaya Ki Me Kahta Huñ Ki Agar Ye Kaam Aurtoñ Ki Zebaish Me Shamil He Jaisa Ki Ba'az Shahroñ Me Riwaj He To Phir Ye Baliyoñ Ke Liye Kaan Chhed Ne Ki Tarah Ka Amal He. Or Allama Sindhi Madni Ne Farmaya, Shafaafe'a Ne Is Ke Jaaiz Hone Ki Tasreeh Ki He. 

*📚(حاشیہ الطحطاوی علی الدرالمختار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی البیع دارالمعرفۃ بیروت ۴/ ۲۰۹)*

*📚(ردالمحتار کتاب الحظروالاباحۃ فصل فی البیع داراحیاء التراث العربی بیروت ۵/ ۲۷۰)*

In Donoñ Ki Baatoñ Ko Allama Shami Ne Naql Karne Ke Baad Barqarar Rakha He. Me Kahta Huñ Is Me Kuchh Shak Nahi Ki Kaan Chhedna Huzur ﷺ Ke Ahde Mubarak Me Mut'aarif Or Mash'hoor Tha Or Huzure Paak  ﷺ Ne Is Par Itla'a Paai Magar Mumaneat Nahiñ Farmai, Ye Dukh Pahunchana Sirf Zebo Zinat Ke Liye Hoga Or Is Tarah Ye Bhi He Ki Kyuñ Ki Donoñ Ka Hukm Masaawi He. Pas Iska Jaaiz Hona Dalaalate Nas Ki Buniyad Par Sabit Ho Gaya Is Ilm Se Jis Me Mujtahid Wa GairMujtahid Mushtark Hai Jaisa Ki Ye Baat Apne Muhal Me Sabit Ho Chuki He.


Or Vo Sirf Ek Amre Mubah He Farz Wajib Sunnat Aslan Nahiñ, Haañ Jo Mubah Ba Niyyate Mahmooda Kiya Shar'an Mahmood Ho Jata He. Jaise Missi Lagani Ki Aurat Ko Mubah He Or Agar Shohar Ke Kiye Sungaar Ki Niyat Se Lagaye To Mustahab Ki Ye Niyyat Shar'an Mahmood He.

*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-23, Mas'ala-185)*


Lihaza Aurtoñ Ko Naak Or Kaan Chhidna Jaaiz He, Or Ye Farz Wajib Ya Sunnat Nahiñ Balki Mubah He.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓8 Aug 2021, 28 Zulhijja 1442*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts