*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum ,Musafha Ka Sahih Tariqa Kya He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Musafha Ye He Ki Ek Shakhs Apni Hatheli Dusre Ki Hatheli Se Milaye, Faqat Ungliyoñ Ke Chhune Ka Naam Musafha Nahi He. Sunnat Ye He Ki Donoñ Hathoñ Se Musafha Kiya Jaye Or Donoñ Ke Hathoñ Ke Maabain Kapda Wagairah Koi Cheez Haail Na Ho.
Musafha Ka Ek Tareeqa Vo He Jo Bukhari Shareef Wagairah Me Abdullah Bin Mas'aud Radiallahu Anhu Se Marwi He, Ki Huzure Aqdas ﷺ Ka Daste Mubarak Unke Donoñ Hathoñ Ke Darmiyan Me Tha.
Yaani Har Ek Ka Ek Hath Dusre Ke Donoñ Hathoñ Ke Darmiyan Me Ho.
Dusra Tareeqa Jisko Ba'az Fuqha Ne Bayan Kiya Or Uski Nisbat Bhi Vo Kahte Hai Ki Hadees Se Sabit He, Vo Ye Ki Har Ek Apna Dahina Hath Dusre Ke Dahne Se Or Baayañ Baayeñ Se Milayeñ Or Anguthe Ko Dabaye Ki Anguthe Me Ek Rag He Ki Uske Pakadne Se Muhabbat Peda Hoti He.
*📚(Bahare Shariyat, H-16, Musafha W Muaanaqa W Bosa W Qayam Ka Bayan, Mas'ala-3)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️4 July 2021, 22 Zilqad 1442*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment