*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Aliakum
Ulmaae Ekram Ki Bargah Main Ek Sawal Arz Hai.. Ke
Koi Shaks Sunnat E Muqqedah Bolne Ki Bajae Sunnat Bolke Padhletaa Hooo To Uspe Kya Hukum Hai Kya Uski Sunnnat E Muqqedah Nmaz Ada Hojaegi Ya Nhi...
Jawab Inayat Farmaae....
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Niyyat Dil Ke Pakke Irade Ko Kehte He, Our Zaban Se Niyyat Karna Mustahb He, Lihaza Namaz Padhte Waqt Sunnat E Muakkida Na Bola Sirf Sunnat Bola Our Dil Me Yahi He Ke Sunnat E Muakkida Jese Zuher Se Pehle Ki Char Rak'at To Namaz Ho Jaaegi. Allah Sab Ke Dilo Ke Haal Janta He, Zahir Batin, Kya Huwa Kya Ho Raha He Kya Hoga Kab Hoga Kese Hoga Koi Bhi Chiz Usse Poshida Nahi... Lihaza Namaz Ho Jaaegi.
Jaisa Ki Bahare Shariyat Me He,
Niyat Dilke Pakke Irade Ko Kahte Hai, Mahaz Janna Niyyat Nahi, Ta WaqtYe Ki Irada Na Ho.
Niyyat Me Zaban Ka Aetebar Nahi, Yaani Agar Dil Me Maslan Zuhar Ka Qasd Kiya Or Zaban Se Lafz Asar Nikla, Zuhar Ki Namaz Ho Gai.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Niyat Ka Bayan, Mas'ala-76,77)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Madrsa E Islamiyah Matehat Peer Dastagir Ekta Trust, Dewgadh, Bariya Dahod Gujarat*
*🗓️4 Oct 2021, 26 Safarul Muzaffar 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment