*🌹SAWAL:-🌹*
As Salamu Alekum Wa Rehmatullahi Wa Barakatahu.
Janab Ek Sawal Aya Hai.
Sawal-
Jis Tarah Log Gao Me Bakre Ya Bakriyan Palte Hai Or Fir Bade Ho Jane Par Use Sahi Kimat Me Bech Dete Hai.
Kya Isi Tarah Se Kisi Kafir Ke Sath Partnership Me Khinzir Ka Bhi Karobar Kiya Ja Sakta Hai.
Baraye Karam Rehnumayi Farmaye
Ek Muslim Hai Jo Ye Karobar Karta Hai Per Manne Ko Tayyar Hi Nahi K Ye Haram Hai
Kehta Hai K Hawala Pesh Karo Jisse Haram Sabit Ho
Aarif Raza Qadri
Jabalpur Madhya Pradesh
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Khinzir Ki Kharido Farokht Haram He Ki Ye Najise Ayn He.
Jaisa Ki Hadeese Paak Me He,
Sahihain Me Jabir Radiallahu Anhu Se Marwi, RasoolAllah ﷺ Se Saal Fatah Makka Me Jabki Makka Muazzama Me Tashreeh Farmathe Ye Farmate Suna Ki: Allah ﷻ W Rasool ﷺ Ne Sharab W Murdad W Khinzir Or Butoñ Ki Bee'a (Kharido Farokht) Ko Haram Qarar Diya. Kisi Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Murda Ki Charbi Ki Nisbat Kya Irshad He, Kyuñ Ki Kashtiyoñ Me Lagai Jaati He Or Khaal Me Lagate Hai Or Log Charag Me Jalate Hai (Yaani Khane Ke Alawa Dusre Tareeq Par Iska Istemal Jaaiz He Ya Nahi) ? Farmaya: Nahi, Vo Haram He. Phir Farmaya Allah Ta'ala Yuhudiyoñ Ko Qatl Kare, Allah Ta'ala Ne Jab Charbiyoñ Ko Un Par Haram Farma Diya To Unhoñ Ne Pighla Kar Bech Dali Or Saman (Qeemat) Kha Liya.
*📚(صحیح مسلم''،کتاب المساقاۃوالمزارعۃ،باب تحریم بیع الخمر...إلخ،الحدیث:۷۱۔(۱۵۸۱)،ص۸۵۲.)*
*📚(Bahate Shariyat, H-11, Bee'a Fasid Ka Bayan, Hadees-4)*
Is Hadees Ko Abu Dawood, Imam Tirmizi, Ibne Maja, Imam Nasai, Imam Tabrani Or Digar Muhaddiseen Ne Bhi Naql Ki He.
Or Ek Hadeese Paak Me He,
Ibne Maja Ne Ibne Abbas Radiallahu Anhuma Se Riwayat Ki, Ke Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya, Beshak Allah Ta'ala Ne Sharab Or Uske Saman (Qeemat) Ko Haram Kiya Or Murda Ko Haram Kiya Or Uske Saman Ko Or Khinzir Ko Haram Kiya Or Uske Saman Ko.
*📚(''سنن أبي داود''،کتاب البیوع،باب في ثمن الخمر...إلخ،الحدیث:۳۴۸۵،ج۳،ص۳۸۶.)*
*📚(Bahare Shariyat, H-11, Bee'a Fasid Ka Bayan, Hadeea-6)*
Lihaza Khinzir Ki Kharido Farokht Se Milne Wali Raqam Bhi Haram He.
Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Farmate Hai,
Khinzir Ke Baal Ya Or Kisi Juz Ki Bee'a Batil He.
*📚(Bahare Shariyat, H-11, Bee'a Fasid Ki Digar Surteñ, Mas'ala-48)*
Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Farmate Hai,
Khinzir Ki Khaal Ya Haddi Kisi Haal Me Aslan Kharido Farokht Ya Kisi Qism Ke Intefa'a Ke Qabil Nahi لنجاسۃ علینہا (Uske Najise Ayn Hone Ki Wajah Se)
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-17, Mas'ala-65)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️9 Dec 2021, 4 Jamadi Ul Awwal 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment