*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Badiuddin Zinda Shah Madaar Alaihir Rahma Ko Madaarul Aalameen Kahna Kesa ?
*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Madaarul Aalameen Kahna Jaaiz Nahi..
Huzur Tajushshariya Alaihir Rahmato Ridwan Se Sawal Hua Ki, Madaarul Aalameen Kahna Kesa ?
Logat Me "Madaar" Ke Ma'ana 1. Gardish Ki Jagah, 2. Munhasir Kiya Gaya, 3. Jis Par Koi Baat Thahri Ho, 4. Daaira 5. Qayaam 6. Inhesar.. Is Wazaahat Ki Roshni Me Madaarul Aalameen Ke Jo Matlab Zahir Hote Hai Vo Hasbe Zail Hai:
1. Hazrat Saiyeduna Badiuddin Qutbul Madaar Alaihir Rahma Ke Aage Sare Aalam Gardish Karte Hai.
Hazrat Sare Aalam Ko Ghere Huve Hai
2. Hazrat Sare Aalam Ka Thahraw Hai.
3. Hazrat Sare Aalam Ka Qayam Hai.
4. Hazrat Sare Aalam Ka Markaz Hai, Aur Daira Hai, Neez Hazrat Par Sare Aalam Ka Inhesar He.
Jiske Jawab Me Aap Taherir Farmate Hai,
Madaarul Aalameen Kahna Jaaiz Nahi Is Liye Ki Iske Aksar Ma'ani Khasa E Janabe Risalat Ma'aab ﷺ Hai Or Dusra Ma'ani Khaasa e Uloohiyat He.
*📚(Fatawa Tajushshariya, J-1, S-439)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️27 Dec 2021, 22 Jamadi Ul Awwal 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment