*🌹SAWAL:-🌹*
Makan Kiraya Par Diya Ho To Us Par Zakat Ka Kya Hukm He ?
*🌹JAWAB:-🌹*
Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Makaanat Par Zakat Nahiñ Agarche
Pachas Karod Ke Hoñ, Kiraya Se Jo Saal Tamam Par Pas Andaz Hoga Uspar Zakat Aayegi Agar Khud Ya Or Maal Se Mil Kar Qadre Nisab Ho.*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-10, Mas'ala-43)*
Lihaza Jo Makanat Kiraye Par Diye He Us Makan Ki Qeemat Par Zakat Nahiñ , Balki Us Usse Jo Kiraya Ki Raqam Milti He Us Par Zakat He.. Vo Bhi Is Soorat Me Ki Us Raqam Ko Ek Saal Ho Gaya Ho Or Nisab Tak Pahnch Jaye.. Ya Pahle Se Sahibe Nisab Ho To Is Kiraya Ki Raqam Ko Bhi Usme Shamil Karke Us Par Zakat Deni Hogi..
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 April 2022, 19 Ramzanul Mubarak 1443*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment