Salato Salam Ke Waqt Jute Chappal Utare Ya Jute Par Khade Rahw Ya Pahen Rakhe ?

 *🌹SAWAL:-🌹*

Assalamualaikum Warahmtul Lahi Ta'ala Barkatohu


*Muhammad Imran Raza Qadri Jajmau Sareef Kanpur Up


*Huzoor Aapki Bargha Me Ek Sawal Arz Hai Sadak Par Ya Maidaan Me Jo Hazraat Salato Salam Padte Hai Unhe Chappal Juta Utaar Kar Uske Upar Kadha Hona Chahiye Ya Fir Chappal Juta Se Hat Kar Zameen Me In Dono Suratme Behtar Surat Kya Hai Jawab Enayat Farmaden Meharbani Hogi


*🌹JAWAB:-🌹*

وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎

Bahetar Yahi He Ki Jute Chappal Utar Kar Uske Upar Khade Rahe.. Hamare Yahañ Logo Ka Urf Bhi Yahi He.. Or Baaz Log Qura'an Shareef Ki Tilawat Ya Fatiha Ya Salato Salam Parhte He To Adban Jute Chappal Utar Dete He.. Isme Bhi Harj Nahiñ, Basharteki Jahañ Paanw Rakhe Vo Jagah Najasat Se Paak Ho.. Or Agar Kisi Ne Jute Nahiñ Bhi Utare Tab Bhi Gunahgar Na Thahraya Jayega.. Haañ Jis Jagah Par Log Adab Ka Jo Tariqa Apnaye Or Usme Koi Sharai Kharabi Na Ho To Logoñ Ke Sath Rah Kar Adab Ka Vo Tariqa Apnaya Jaye..


Namaze Janaza Ke Muta'alliq Bahare Shariyat Me He,

Baaz Log Juta Pahne Or Bahut Log Jute Par Khade Ho Kar Namaze Janaza Parhte Hai, Agar Juta Pahne Parhi To Juta Or Uske Niche Ki Zameen Donoñ Ka Paak Hona Zaroori He, Baqadre Maane'a Najasat Hogi To Uski Namaz Na Hogi Or Jute Par Khade Ho Kar Parhi To Jute Ka Paak Hona Zaroori He.

*📚(Bahare Shariyat, H-4, Namaze Janaza Ka Bayan, Mas'ala-4)*


Or Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahma Farmate Hai,


Ehtiyat Yahi He Ki Juta Utar Kar Us Par Paanw Rakh Kar Namaz Parhi Jaye Ki Zameen Ya Tala Agar Napaak Ho To Namaz Me Khalal Na Aaye.

*📚(Fatawa Razviya, J-9, S-188)*


Lihaza Salato Salam Me Bhi Ehtiyat Yahi He Ki Juta Chappal Utar Kar Us Par Paanw Rakh Kar Khade Rahe, Ki Zameen Ya Tala Agar Napaak Ho To Koi Khalal Na Aaye...

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab

*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🗓️17 March 2022, 13 Shaban 1443*

📲+918487928693

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*

•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts