*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ya Allah Tere W Tere Habib Ke Sadqe Puri Duniya Ke Musalmanon Ki Hifazat Farma..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Sadqe Ka Asl Ma'ana Hota He Apne Aapko Kisi Par Fida Karna Qurban Karna.. Zahir He Ki Ye Allah Ta'ala Ke Haq Me Muhaal He, Wo Azali Abadi He, Us Par Uski Makhlooq Uske Din Ke Tahaffuz Ke Liye Qurban Hoti He, Uske Naam Par Qurban Hoti He. Magar Vo Kisi Par Fida Ho Qurban Ho Vo Uske Haq Me Muhaal He.. Is Liye Allah Ki Bargah Me Ye Kahna Ki 'Tere Sadqe Me' Ye Is Ma'ana Kar Ke Ki 'Tujhe Us Par Fida O Qurban Karke' Ye Allah Ke Liye Ma'ana Lena Kufri He.. Is Liye Is Lafz Ka Itlaaq Allah Ki Bargah Me Jaaiz Nahiñ...
Haañ Sadqe Ka Ek Ma'ana Jo Urf Me Istemal He Vo 'vaaste' Ke Ma'ana Me Bhi He, Jaise Falañ Ke Sadqe Me Falañ Ke Vaaste Se... Aam Bolchal Me Jab Ham Kahte He Tere Habib Ke Sadqe Me To Iska Ma'ana Ye Hota He Ki Tere Habib Ko Teri Bargah Me Wasila Banate He... To Is Ma'ana Me Lafze Sadqe Urf Me Waste Or Tawassul W Wasila Ke Ma'ana Me Istemal Hota He.. Or Isi Ma'ana Me Jab Is Lafz Ka Itlaaq Kiya Jata He To Yahi Ma'ana Samajh Me Aata He, Is Liye Mutlaqan Khuda Ki Bargah Me Ye Lafz Ki "allah Tere Sadqe" Isko Kufri To Nahiñ Keh Sakte Magar Chuñki Iska Asl Ma'ana Khuda Ki Zaat Par Itlaaq Karna Ye Kufr He Isliye Ham Ye Kaheñge Ki Lafze Sadqe Ka Istemal Allah Ki Bargah Me Karna Jaaiz Nahiñ...Hattal Imkaan Is Lafz Ke Istemal Se Ehtreaz Karna Chahiye.
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Mufti Amjadi Darul Ifta, Porbandar Gujarat*
*🗓️26 April 2022, 24 Ramzanul Mubarak 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment