*🌹SAWAL:-🌹*
As Salam Alaikum
Hazrat Ek Khatun Ne Kaha Ki Mera Jitna Bhi Gold Sona He Wo Mere Intekal Ke Baad Meri Bari Bahu Ko Sab De Dena Halañ Ki Us Khatun Ki Ek Beti Or Char Bahu He To Shariyat Ke Hisab Se Kiya Hukam He Hawale Ke Sath Jawab De Bara E Maherbani Hogi
Khatun Ka Intekal Ho Chuka He..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Us Khatun Ne Agar Hosho Hawaas Ki Durustagi Me Ye Kaha Ki Mere Inteqal Ke Baad Sara Sona Meri Badi Bahu Ko De Dena Agar Mustafti Apni Baat Me Sachcha He To Us Khatun Ka Apni Bahu Ke Liye Apne Sone Ki Wasiyat Sahih He Kyuñ Ki Bahu Apni Saas Ki Waris Nahiñ Hoti Albatta Sirf Tihaai Me Uski Wasiyat Nafiz Hogi Baaqi Sona Or Uske Alawa Jo Kuchh Vo Khatun Chhod Kar Faut Hui He Sab Uske Warsa Ke Darmiyan Unke Hissoñ Ke Aitbar Se Taqseem Hoga, Lekin Agar Warsa Jab Ki Aaqil Balig Hoñ Vo Agar Us Khatun Ki Maut Ke Baad Tihaai Se Zaaid Ki Wasiyat Ko Jaaiz Kar Deñ To Sahih He...
Bahare Shariyat Me He,
Wasiyat Sulus Maal Se Zyada Ki Jaaiz Nahiñ Magar Ye Ki Waris Agar Baalig Hai Or Nabaalig Ya Majnoon Nahiñ Or Vo Musi (Wasiyat Karne Wale) Ki Maut Ke Baad Sulus Maal Se Zaaid Ki Wasiyat Jaaiz Kar Deñ To Sahih He Musi Ki Zindagi Me Agar Warisoñ Ne Ijazat Di To Uska Aitbar Nahiñ Musi Ki Maut Ke Baad Ijazat Moatebar He..
*📚(Bahare Shariyat, J-3, H-19, S-938, Qadri Kitab Ghar)*
واللہ تعالیٰ اعلم
*✍🏻 Al-Jawab: Hazrat Mufti Dilshad Ahmad Zaiyai Amjadi Sahab Qibla*
*📬Darul Uloom Ziya E Mustafa, Bharuch, Gujarat*
*🗓️4 July 2022, 4 Zilhijja 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+918487928693
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment