Paidal Haj Ko Jana Kesa ? Huzur Ne Aurat Ko Paidal Hai Se Mana'a Kiya Hadees Ki Tashreeh Or Tafsili Jawab..

*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Ye Mas'ala Abhi Shoro Se Chal Raha He.. Paidal Hajj Ke Ta'alluq se ki,

Paidal Haj Karne Ka Jo Bahare Shariyat Me Afzal Bataya Gaya He Vo Bhi Makka Se He.. Or Hadees Paak Jo Bahare Shariyat Me He Usme Bhi He Ki Jo Makka Se Paidal Haj Ko Gaya Uske Liye 700 Nakiya He.....

Lekin Kya Ye Hukm Ghar Se Ya India Wagairah Se Paidal Jane Wale Ke Liye Bhi He...

Kyuñ Ki Huzur  ﷺ Ne Is Tarah Paidal Haj Na Kiya Balki Aap Sawari Par Hi Gaye... 

Or Paidal Haj Karne Me Kai Din Nikal Jate He... Jisme Aadmi Apne Aapko Mashakkat Me Dalta He... Jab Ki Ek Ek Hadees Me He Allah Iske Paidal Chalne Se Bezar He...

Ye Ishq Ka Muamla He Ki Ham Us Azeem Sar Zameen Par Bataure Nadamat Paidal Jaye...

Or Ye Bhi He Ki Paidal Haj Imam Hasan Ne Takriban 25 Martaba Farmaya Or Kai Buzurgone Bhi Farmaya...

Ab Afzal Kya Hoga Hazrat Ki India Se Paidal Haj Ko Jaye Ya Sawari Wagairah Se..

Rahenumai Farmaye Hazrat

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Raddul Mohtar Al-Ma'roof Fatawa Shami Me Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahmato Ridwan Ne Kitabul Hajj Ke Safha 460 Me Un Tamam Aitrazat Ke Jawabat Mukhtasar Ibarat Me Darj Farma Diye..

اللباب ، لكن سيأتي آخر كتاب الحج أن من نذر حجاً ماشياً وجب عليه المشي في الأصح وعليه المتون، وعلله في الهداية وغيرها بأنه التزم القربة بصفة الكمال لقوله ﷺ "من حجَّ ماشياً كَتَبَ اللهُ له بِكُلِّ خُطْوَةٍ حَسَنَةٌ مِنْ حَسَنَاتِ الحَرَمِ، قيلَ : وما حسناتُ الحرم؟ قال : كُلُّ حسنةٍ بِسَبْعِمائَةِ، ولأنه أشق على البدن فكان أفضل، وتمامه في شرح الجامع الخاني . وقال في الفتح : إن قيل كره أبو حنيفة الحج ماشِياً فكيف يكون صفة كمال؟ قلنا : إنما كرهه اذا کان مظنة سوء الخلق، كأن يكون صائماً مع المشي أو لا يطيقه، وإلا فلا شك أن المشي أفضل في نفسه لأنه أقرب إلى التواضع والتذلل، ثم ذكر الحديث المار وغيره .

Mafhoom Or Uska Tarjama Ye He,
Paidal Haj Karna Afzal He, Ab Ye Kahiñ Se Bhi Ho Makkah Se Miqaat Se Ho Madina Se Ho Ya Dunya Ke Kisi Bhi Kone Se Ho.

Balki Allama Shami Alaihir Rahmato Ridwan Ye Bhi Bayan Farmaya Ki Kisi Ne Mannat Maani Chalte Huve Haj Karne Ki To Sahih Qaul Ke Mutabiq Us Par Wajib He Ki Vo Chal Kar Hajj Kare, Or Aysa Hi Mutoon Me Yaani Jo Fiqh Me Badi Moatebar Kitabe Maani Gai He Usme Bhi Waisa Hi Likha Hua He.

Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahma Ba'adahu Taherir Farmate Hai, 
Ki Uski Wajah Hidaya (jo Fiqh Ki Azeem Kitab He) Or Uske Alawa Dusri Kitaboñ Me Uski Wajah Ye Batai Gai Ki, Chalte Huve Ya Paidal Hajj Karna Isme Sifate Kamaal Ke Sath Ibadat Ko Lazim Karar Diya He.. Is Wajah Se Ye Afzal He.

Or Is Par Hamare Aulma E Kiram Ne Hadees Shareef Ko Naql Farmaya

من حجّ ماشياً كتب الله له بكلّ خطوة حسنة، من حسنة حسنات الحرم. قيل: وما حسنات الحرم؟ قال: كلّ حسنة بِسَبْعِمائةِ 
Allah Ke Rasool  ﷺ Irshad Farmate Hai, Ki Jisne Paidal Hajj Kiya To Allah Tabarak Wa Ta'ala Haram Shareef Ki Nekiyoñ Me Se Har Ek Neki Uske Qadam Ke Barabar Ata Farmayega.. To Sahaba E Kiram Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Haram Shareef Ki Neki Kitni He To Farmaya Har Ek Neki 700 Nekiyoñ Ke Barabar He. 

Yaani Mafhoom Or Khulasa Uska Ye He Ki Jo Paidal Haj Kare To Har Ek Qadam Ke Badle Me 700 Nekiyañ Ata Ki Jayegi.. Allama Shami Is Hadees Shareef Ki Jo 700 Nekiyañ Ata Karne Wali Baat He, Uski Ye Wajah Bayan Farmate Hai Ki Yahañ Par Qadam Par Thodi Si Mashaqqat Daal Kar Zahemat Daal Kar Vo Hajj Par Ja Raha He, Allah Ki Raah Me Ja Raha He To Ye Afzal He.. Zyada Fazilat Rakhta He..

Or Uski Tamam Tafsili Baate Sharhe Al-Jame'a Al-Khani Me Mazkoor He..

Or Fatah Me (ek Kitab Ka Naam) Usme Ek Aitraz Ka Jawab Diya He Ki Imame Aazam Abu Hanifa Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Paidal Haj Ko Jane Ko Makrooh Bataya To Fir Is Sifate Kamal Ke Sath Paidal Haj Ko Jana Or Usko Sahih Batana Kyuñ Kar Sahih Ho Sakta He ? 

To Hamare Aulma E Kiram Ne Uska Jawab Diya Fatah Me Or Is Ibarat Me Bhi He Ki Imame Aazam Abu Hanifa Radiallahu Ta'ala Anhu Ne Paidal Haj Ko Jane Ko Us Waqt Makrooh Qarar Diya Napasand Kiya Jab Ki Uske Akhlaq Bure Ho Jane Ka Khatra Ho... 

Uski Misaal Yuñ Di Ki Vo Chalte Huve Roza Rakhega Or Vo Uski Taqat Na Rakhega, Zahir Si Baat He Ya To Vo Roza Rakhega Ya Chalega.. Ya Chalega To Fir Roza Nahiñ Rakhega... To Usme Kuchh Kami Hogi Is Wajah Se Imame Aazam Ne Usko Napasand Kiya...

Lekin Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahma Farmate Hai, Lekin Isme Koi Shaq Nahiñ Ki Chalte Huve Haj Karna Ye Afzal He Zyada Fazilat Rakhta He Kyuñ Ki Usme Zyada Tawaazo, Aajizi W Inkesari He... Uske Baad Sahibe Fatah Ne Is Hadees Shareef Ko Naqal Farmaya..

Algarz Is Mukhtasar Ibarat Me Allama Ibne Aabedin Shami Alaihir Rahmato Ridwan Ne Tamam Aitrazat Ke Jawabat De Kar Ye Bataya Ki Paidal Hajj Karna Makka Se Ho Miqaat Se Ho Miqaat Ke Bahar Se Ho Madina Se Ho Hindustan Se Ho Ya Dunya Ke Kisi Bhi Kone Se Ho Afzal He..

Or Jo Mumaneat Ki Hadees Bayan Ki Jati He Ki,
Hazrat Anas Radiallahu Anhu Se Riwayat He, Ek Aurat Ne Nazr Maani K Vo Baitullah Tak (paidal) Chal Kar Jayegi. Nabi E Kareem ﷺ Se Is Silsile Me Sawal Kiya Gaya To Aap  ﷺ Ne Farmaya: Allah Ta'ala Iske Paidal Chalne Se Be Niyaz He, Ise Hukm Do Ke Vo Sawar Ho Kar Jaye. (Tirmizi, #1536 Sahih)

Is Hadees Sharif Ne Jo Mana'a Kiya Gaya He Vo Is Wajah Se Hi Vo Aurat Kamzor Thi Ya Ma'azoor Thi, Or
لَا يُكَلِّفُ ٱللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا 
Allah Tabarak W Ta'ala Uski Jaan Se  Zyada Bojh Nahi Dalta..

Is Wajah Se Rasoole Qainat ﷺ Ne Usko Mana'a Kiya.. Or Is Jahañ Tirmizi Shareef Me Ye Hadees He Aurat Ko Paidal Hajj Se Mana'a Farmaya Uske Niche Dusri Bhi Hadees He Jisme Ek Budhe Shakhs Ko Uske Dono Bete Apne Kandhoñ Par Paidal Hajj Ko Le Ja Raha The.. To Allah Ke Rasool ﷺ Ne Us Waqt Ye Irshad Farmaya Ki Uska Paidal Chalna Allah Ta'ala Usse Be Niyaz He To Vahañ Par Bhi Uske Kamzor Hone Ki Bina Par Usko Mana'a Kiya Gaya...

Jis Hadeese Nabwiya Me Paidal Hajj Ko Mana'a Kiya Gaya He, Usme Majboori Lachari Or Kamzori Ki Bina Par He, Na Ki Taqato Quwwat Ki Bina Par, Albatta Taqato Quwwat Ki Bina Par Agar Koi Paidal Hajj Ko Jana Chahta He To Jaa Sakta He, Or Ye Afzal He..

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️27 July 2022, 27 Zilhijja 1443*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts