Qabr Par Azan Dena Kesa Or Kaha Se Sabit He ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alalykum Mayyat Ko Kabr Me Dafn Karne K Baad Azan Dena Kaisa Aur Kaha Se Sabit Hai?

*🌹JAWAB:-🌹*
Mayyat Ko Dafn Karne Ke Baad Qabr Par Azan Dena Bilashubah Jaaiz Or Mustahsan Amal He.. Shara'a Me Iski Koi Mumaneat Mazkoor Nahi Balki Baaz Aulma Ne Ise Sunnat Bhi Bataya He.. Takbir Yaani Allahu Akbar Kahna Aag Ko Bujhata He Lihaza Qabr Par Azan Dene Se Murda Aag Se Mahefooz Rahega. Us Par Allah Ki Rahemat Nazil Hogi. Azan Dene Ke Kai Fawaaid He Maslan Azan Se Shaitan Or Sarkash Jinnat Bhagte Hai, Nakirain Ke Sawal Jawab Me Aasani Hoti He Wagairah...

Jaisa Ki Imame Ahle Sunnat Huzur Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Baaz Aulma E Deen Ne Mayyat Ko Qabr Me Utarte Waqt Azan Kahne Ko Sunnat Farmaya He. Imam Hajar Makki W Allama Khairul Millah Wad Deen Ramli Ustaze Sahibe Durre Mukhtar Alaihir Rahma Ne Unka Ye Qaul Naql Kiya Haq Ye He Ki Azan Mazkoor Fees Sawal (Qabr Par Azan) Ka Jawaz Yaqeeni He Hargiz Shara'a Mutahhar Se Iske Mumaneat Ki Koi Daleel Nahiñ Or Jis Amr Se Shara'a Mana'a Na Farmaye Aslan Mamnoo'a Nahiñ Ho Sakta...

Daleel Awwal:
Warid He Ki Jab Banda Qabr Me Rakha Jata He Or Sawale Nakirain Hota He To Shaitan Rajeem Wahañ Bhi Khalal Andaz Hota He Or Jawab Me Bahkata He. Or Sahih Hadeesoñ Se Sabit Ki Azan Shaitan Ko Dafa'a Karti He.

امام ترمذی محمد بن علی نوادر الاصول میں امام اجل سفیٰن ثوری رحمہ اللہ تعالٰی سے روایت کرتے ہیں :اذا سئل المیت من ربک تراأی لہ الشیطان فی صورت فیشیر الی نفسہ ای اناربک ۱؎ فلھذا ورد سوال التثبیت لہ حین یسئل
Yaani Jab Murde Se Sawal Hota He Ki Tera Rab Kon He ? Shaitan Us Par Zahir Hota Or Apni Taraf Ishara Karta He Yaani Me Tera Rab Huñ, Is Liye Hukm Aaya Ki Mayyat Ke Liye Jawab Me Sabit Qadam Rahne Ki Duaa Kareñ
*📚(نوادر الاصول فی معرفۃ احادیث الرسول الاصل التاسع والاربعون والمائتان الخ مطبوعہ دارصادر بیروت ص ۳۲۳)*

Or Sahih Hadeesoñ Se Sabit Ki Azan Shaitan Ko Dafa'a Karti He, 

Sahih Bukhari W Muslim Wagairahuma Me Hazrat Abu Huraira Radiallahu Anhu Se Marwi Huzure Aqdas  ﷺ Farmate Hai,
اذااذن المؤذن ادبر الشیطان ولہ حصاص 
Jab Muazzin Azan Kahta He Shaitan Pith Pher Kar Guzzanañ Bhagta He.
*📚(الصحیح لمسلم باب فضل الاذان وہرب الشیطان عندسماعہ مطبوعہ قدیمی کتب خانہ کراچی ۱/۱۶۷)*

Or Khud Hadees Me Hukm Aaya Jab Shaitan Ka Khatka Ho Fauran Azan Kaho Ki Vo Dafa'a Ho Jayega.

Or Jab Sabit Ho Liya Ki Vo Waqt Ayazubillah Madakhilate Shaitan Layeen Ka He Or Irshad Huva Ki Shaitan Azan Se Bhagta He Or Usme Hukm Aaya Ki Uske Dafa'a Ko Azan Kaho To Ye Azan Khas Hadeesoñ Se Mustanbit Balki Ayn Irshade Share'a Ke Mutabiq Or Musalman Bhai Ki Umda Imdad W Aanant Hui Jis Ki Khubiyoñ Se Qura'an W Hadees Mala Maal.

Daleel Dom:
Imam Ahmad W Tabrani W Bayhaqi Hazrat Jabir Bin Abdullah Radiallahu Anhuma Se Raawi,
قال لمادفن سعد بن معاذ (زاد فی روایۃ) وسوی علیہ سبح النبی صلی اللّٰہ تعالٰی علیہ وسلم وسبح الناس معہ طویلا ثم کبر وکبرالناس ثم قالوا یارسول اللّٰہ لم سبحت (زاد فی روایۃ) ثم کبرت قال لقد تضایق علی ھذا الرجل الصالح قبرہ حتی فرج اللّٰہ تعالٰی عنہ
Yaani Jab Sa'ad Bin Ma'az Radiallahu Anhu Dafn Ho Chuke Or Qabar Durust Kardi Gai Nabi ﷺ Der Tak SubhanAllah  Farmate Rahe Or Sahaba E Kiram Bhi Huzur Ke Sath Kahte Rahe Phir Huzur Allahu Akbar Allahu Akbar Farmate Rahe Or Sahaba Bhi Huzur Ke Sath Kahte Rahe, Phir Sahaba Ne Arz Ki Ya RasoolAllah ﷺ Huzur Awal Tasbeeh Phir Takbir Kyuñ Farmate Rahe ? Irshad Farmaya: Us Nek Mard Par Uski Qabr Tang Hui Thi Yahañ Tak Ki Allah Ta'ala Ne Vo Taklif Usse Dur Ki Or Qabr Kushada Farmadi.
*📚( مسند احمد بن حنبل عن مسندہ جابر بن عبداللہ رضی اللہ تعالٰی عنہما مطبوعہ دارالفکر بیروت ۳/۳۷۷ ۔۳۶۰)*

Is Hadees Se Sabit Hua Ki Khud Huzure Aqdas ﷺ Ne Mayyat Par Aasani Ke Liye Baade Dafan Ke Qabr Par Allahu Akbar Allahu Akbar Baar Baar Farmaya He Or Yahi Kalma Mubaraka Azan Me 6 Baar He To Ayn Sunnat Hua, Gayat Ye Ki Azan Me Uske Sath Or Kalimat Tayyibat Zaaid Hai Or Unki Zyadat Na Ma'azAllah Kuchh Muzr Na Us Amre Masnoon Ke Manaafi Balki Zyada Mufeed W Muayyad Maqsood He Ki Rahemate Ilahi Utarne Ke Liye Zikre Khuda Karna Tha...

Daleel Som:
Bilittifaq Sunnat Or Hadeesoñ Se Sabit Or Fiqh Me Musbat Ki Mayyat Ke Paas Halate Naza'a Me Kalma E Tayyaba لا الہ الا اللہ Kahte Raheñ Ki Use Sun Kar Yaad Ho.

Hadeese Mutwatir Me He Huzure Aqdas ﷺ Farmate Hai,
لقنوا موتاکم لاالٰہ الاللّٰہ
Apne Murdoñ Ko Laa Ilaha Illallah Sikhao..
*📚(سنن ابی داؤد باب فی التلقین مطبوعہ آفتاب عالم پریس لاہور ۲/۸۸)*
رواہ احمد ومسلم وابوداؤد والترمذی والنسائی وابن ماجۃ عن ابی سعید الخدری وابن ماجۃ کمسلم عن ابی ھریرۃ وکالنسائی عن ام المؤمنین عائشۃ رضی اللّٰہ تعالٰی عنہم۔

Ab Jo Naza'a Me He Vo Mijazan Murda He Or Use Kalma E Islam Sikhane Ki Hajat Ki Bahawlillahi Ta'ala Khatima Usi Paak Kalme Par Ho Or Shaitan Laeen Ke Bhulane Me Na Aaye Or Jo Dafn Ho Chuka Haqeeqatan Murda He Or Use Bhi Kalma Paak Sikhane Ki Hajat K Ba'awnillahi Ta'ala Jawab Yaad Ho Jaye Or Shaitan Rajeem Ke Bahkane Me Na Aaye Or Beshk Azan Me Yahi Kalmaلا الہ الا اللہ 3 Jagah Maujud Balki Uske Tamam Kalimat Jawabe Nakirain Batate Hai..

Unke Teen Sawal He,
Ab Azan Ki Ibteda Me Allahu Akbar Allahu Akbar, Ash'hadu Al Laa Ilaha Illallah Asha'hadu Al Laa Ilaha Illallah.. Or Aakhir Me Allahu Akbar Allahu Akbar Laa Ilaha Illallah Sawal 1.Man Rabbuk Ka Jawab Sikhayeñge. Unke Sunne Se Yaad Aayega Ki Mera Rab Allah He..

Or Ash'hadu Anna Muhammadur RasoolAllah Sawal 2. Maa Kunt Taqool Fee Hazar Rajul Ka Jawab Ta'aleem Kareñge Ki Me Unheñ Allah Ka Rasool Janta Tha... 

Or Hayya Alas Salah Hayya Alal Falah Jawab 3.Maa Deenuk Ki Taraf Ishara Kareñge Ki Mera Deen vo Tha Jis Me Namaz Rukn W Sutoon He.

To Baade Dafn Azan Dena Ayn Irshad Ki Ta'ameel He Jo Nabi  ﷺ Ne Hadeese Sahih Mutwatir Mazkoor Me Farmaya..
*📚(Mulakhkhssan, Fatawa Razviya Mutarjim, J-5, Mas'ala-388)*

Or iski Mazeed Tafsil Sarkare Aala Hazrat Ne Apne Risala
 ایذان الاجر فی اذان ھ القبر(۱۳۰۷ھ)
"Dafan Ke Baad Qabr Par Azan Kahne Ke Jawaz Par Mubarak Fatwa" Me Taherir Farmai He...
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓10 Aug 2022, 11 Muharram 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts