Allah Ke Liye Chaal Chalna Lafz Istemal Karna Kesa

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu alaikum Hazrat Kya Is Post Ko Status Rakhna Kufr Hai Ya Kisi Ne Rakha To Us Ne Kufr Kiya ?

"Beshak Allah Bahetarin Chal Chalne Wala He.."

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Qura'an Paak Ki Aayat he,
وَ اللّٰهُ خَیْرُ الْمٰكِرِیْنَ
Jiska Tarjama Aala Hazrat Ne Farmaya Ki,
Or Allah Bahetarin Khufya Tadaabir Karne Wala He.
*📚(Surah Anfaal, Aayat-30)*

Aam Mufassireen Or Badmazhab Wagairah Ne Is Aayat Ke Tarjama Me Makr Karna, Daaw Karna Ya Chaal Chalna Jese Alfaaz Allah Ta'ala Ki Shan Me Istemal Kiye, Jisse Aam Insan Ye Galat Fahmi Ka Shikar Ho Jayega Ki Ma'azAllah Allah Ta'ala Bhi Aam Insan Ki Tarah Makr Karke Makkar Or Chaal Chal Ke Chaal Baaz Ho Gaya (Ma'azAllah).. Makr Ka Ma'ana Hota He Kisi Ko Shar Pahunchane Me Hila Karna Or Allah Ta'ala Ka Kisi Ko Shar Pahunchane Me Hila Karna Muhaal He...

Allah Ta'ala Ki Taraf Daaw, Chaal Ke Lafzoñ Ki Nisbat Karna Jo Aam Taur Par Urdu Me Bure Ma'anoñ Or Qabeeh Awsaaf Ke Taur Par Istemal Hote Hai, Namunasib He.. Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Ka Tarjama Is Ehtemaal Ko Radd Kar Deta He Or Wazeh Karta He Ki Jab Makr Ki Nisbat Allah Ta'ala Ki Taraf Hogi To Isse Murad Jaza E Makr Hogi Jo Ki Khufya Tadbeer He, Jisse Makkar Logoñ Ki Koshishoñ Ko Ruswa Or Nakaam Kiya Jaye Or Unki Ummidoñ Par Paani Pher Diya Jaye....

Lihaza Allah Ta'ala Ki Shan Me Lafz Chaal Chalna, Daaw Chalna Wagairah Istemal Karna Durust Nahiñ.. Isse Bachna Chahiye...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️11 Sep 2022, 13 Safar 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•


No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts