Aurat Ka Parde Ke Sath Mazar Par Jana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم ورحمتہ اللہ وبرکاتہ علمائے کرام جواب عطا فرمائے 
Kiya Aurat Parde Ki Halat Mai Mazarat Pe Jaskti Hai Hawala Ke Sath Jawab Ata Kare ?

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Mazaarate Awliya Par Jana Unse Faiz Hasil Karna Zaroor Mustahsan Or Jaaiz Amal He.. Magar Aurtoñ Ko Mazaarat Ki Hazri Ke Liye Nikalna Haram He Unhe Mutlaqan Mana'a Kiya Jayega... Chahe Burhi Ho Ya Jawan, Ba Parda Ho Ya Beprda, Faahsha Ho Ya Paarsa Mutlaqan Aurtoñ Ko Mazaarate Awliya Ki Haazri Ke Liye Nikalna Jaaiz Nahiñ.. Haañ Kisi Safare Jaaiz Ko Nikli Or Raste Me Qabar Ya Mazaar Aa Jaye Or Apne Shohar Ya Maheram Ke Sath Ziyarat Karli To Harj Nahiñ, Jabki, Parde Ka Ehtemaam Ho Or Juz'a Fuz'a Wagairah Munkiraate Sharaiyyah Se Khali Ho..

Saiyedi Sarkar Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Alaihir Rahmato Ridwan Ne Is Muta'alliq Ek Mukammal Risala Ba Naam جُمَلُ النّور فی نھی النساء عن زیارۃ القبور Tahreer Farmaya, Jis Me Aap Ne Aurtoñ Ko Ba Parda Ya Be Parda Faahsha Ya Paarsa Sabko Mutlaqan Mazaarate Awliya Ki Haazri Ki Mumaneat Par Tafseeli Bahas Tahreer Farmai He...
Jis Me Se Chand Mundarja Zail He,

Fatawa Razviya Me Hai,
:وقال ابن مسعود رضی اﷲ تعالٰی عنہ المراۃ عورۃ واقرب ماتکون الی اﷲ فی قعربیتھا فاذا خرجت استشرفہا الشیطان وکان ابن عمر رضی اﷲ تعالٰی عنہما یقوم یحصب النساء یوم المجمعۃ یخرجھن من المسجد وکان ابراہیم یمنع نساءہ الجمعۃ والجماعۃ
Yaani Hazrat Abdullah Ibne Masood Radiallahu Ta'ala Anhu Farmate Aurat Saraapa Sharm Ki Cheez He. Sab Se Zyada Allah Ta'ala Se Qareeb Apne Ghar Ki Tah Me Hoti He. Or Hazrat Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhuma Jumuah Ke Din Khade Ho Kar Kankariyañ Maar Kar Aurtoñ Ko Masjid Se Nikalte. Or Imam Ibrahim Nakh'ee Tabaee Ustazul Ustaz Imame Aazam Abu Haneefa Radiallahu Anhu Apni Mastooraat Ko Jumuah W Jama'at Me Na Jane Dete.
*📚(عمدۃ القاری شرح البخاری باب خروج النساء الی المساجد ادارۃ الطباعۃ المنیریہ بیروت ۶/ ۱۵۷)*

Jab In Khair Ke Zamanoñ Me Un Azeem Fuyoozo Barkaat Ke Waqtoñ Me Aurteñ Mana'a Kardiñ Gai, Or Ka He Se, Huzure Masaajid W Shirkate Jama'at Se, Halanki Deene Mateen Me Un Donoñ Ki Shadeed Takeed He. To Kya Azminah Sharoor Me In Qaleel Wa Mauhum Fuyooz Ke Hile Se Aurtoñ Ko Ijazat Di Jaeygi, Vo Bhi Ka He Ki, Ziyarate Quboor Ko Jane Ki Jo Shar'an Mokad Nahiñ, Or Khusoosan Un Meloñ Kheloñ Me Jo Khuda Na Tarsoñ Ne Mazaarate Kiram Par Nikal Rakhe Hai, Ye Kis Qadar Shariate Mutahhara Se Munafiqat He. 

Or Farmate Hai,
A'imma E Deen Imaame Aazam W Saahibain W Man Ba'ad Hamne Rok Diya, Or Aurtoñ Ki Misleñ Na Banaayeñ Ki Salihaat Jaayeñ, Fasiqaat Na Aayeñ, Balki Ek Hukm Aam Diya... Or Aurtoñ Ki Qismeñ Kyuñ Kar Chhanti Jayeñgi..

Or Farmate Hai Ayni Jild-4 Me Imam Abu Umar Se He,
ولقد کرھہ اکثر العلماء خروجھن الی الصلوات فکیف الی المقابر ، وما اظن سقوط فرض الجمعۃ علیہن الا دلیلا علٰی امساکہن عن خروج فیما عداھا ۔
Aksar Aulma Ne Namazoñ Ke Liye Aurtoñ Ka Jaana Makrooh Rakha He To Qabrastanoñ Me Jane Ka Hukm Kya Hoga ? Me To Yahi Samajhta Huñ Ki Unse Farze Jumuah Saaqit Ho Jana Is Baat Ki Daleel He Ki Unheñ Uske Maasiwa Se Bhi Roka Jayega..
*📚(عمدۃ القاری شرح البخاری باب زیارۃ القبور ادارۃا لطباعۃ المنیریہ بیروت ۸ /۶۹)*

Sahibe Hidaya Ne Farmaya:
Aurtoñ Ke Liye Jama'atoñ Ki Haazri Makrooh He. Baaz Shariheen Ne Kaha Yaani Jawan Aurtoñ Ke Liye.. Or "jama'atoñ" Ka Lafz Jumuah, Eidain, Kusoof, Istasqa Sabhi Ko Shamil He..

Hamare Mashaaikh Ne Mumaneat Ki Wajah Ye Batai He Ki Unke Nikalne Me Fitne Ka Andesha He, Or Ye Haram Ka Sabab He, Or Jo Haram Tak Le Jane Wala Ho Vo Haram He, Iske Peshe Nazar Lafz "Makrooh" Se Unki Murad "Haram" He, Khusoosan Is Zamane Me Is Liye Ki Ab Logoñ Me Kharabi Or Buraai Aam Ho Gai He.
*📚(اعمدۃ القاری شرح البخاری باب خروج النساء الی المساجد ادارۃ الطباعۃ المنیریہ بیروت ۶/۱۵۶)*

Phir Isi Safha Par Abdullah Bin Umar Radiallahu Anhuma Ka Jumuah Ke Din Aurtoñ Ko Kankariyañ Maar Kar Masjid Se Nikalna Or Imame Ajal Ibrahim Nakh'ee Tabaee Ka Apne Mastooraat Ko Jumuah W Jama'at Me Na Jaane Dena Zikr Kiya.. Anaya Se Guzra Ki Ameerul Muamineen Farooque Aazam Ne Aurtoñ Ko Huzure Masjid Se Mana'a Farmaya.

Kya Madina Tayyabah Ki Vo Bibiyañ Ki Sahabiyaat Wa Taabiaat Thiñ Or In Imame Ajl Tabaee Ki Mastooraat Ma'azAllah Fitnagar W Ahle Fasaad Thi, Haasha Hargiz Nahiñ, To Sabit Hua Ki Mana'a Aam He Sirf Fasiqaat Se Khas Nahiñ Or Unka Khusoosan Zikr Farma Kar Zanaane Misr Ke Khasaail Ginana Is Liye He Ke Unpar Badarja Awla Haram He Na Ki Faqat Fitne Uthane Waliyoñ Ko Mumaneat He.

Isi Liye Hukm Ye Bayan Farmaya Ki,
Ab Ziyarate Quboor Aurtoñ Ko Makrooh Hi Nahiñ Balki Haram He. Ye Na Farmaya Ki Waisi Ko Haram He Aysi Ko Halal He. Waisi Ko To Pahle Bhi Haram Tha Is Zamana Ki Kya Takhsees ! 

Aage Farmate Hai,
سئل القاضی عن جواز خروج النساء الی المقابر قال لایسأل عن الجواز الفساد فی مثل ھذا وانما یسأل عن مقدار مایلحقھا من اللعن فیھا واعلم انھا کلما قصدت الخروج کانت فی لعنۃ اﷲ و ملائکتہ واذا خرجت تحفھا الشیاطین من کل جانب واذا اتت القبور یلعنہا روح المیت واذا رجعت کانت فی لعنۃ اللہ؂ ۔
Yaani Imam Qazi Se Istafta Huva Ki Aurtoñ Ka Maqaabir Ko Jana Jaaiz He Ya Nahiñ ? Farmaya: Aysi Jagah Jawaz W Adame Jawaz Nahiñ Puchhte, Ye Puchho Ki Usme Aurat Par Kitni Laanat Parti He. Jab Ghar Se Quboor Ki Taraf Chalne Ka Irada Karti He Allah Or Farishtoñ Ki Laanat Me Hoti He, Jab Ghar Se Bahar Nikalti He Sab Tarfoñ Se Shaitan Use Gher Lete Hai, Jab Qabr Tak Pahunchti He Mayyat Ki Rooh Us Par Laanat Karti He, Jab Wapas Aati He Allah Ki Laanat Me Hoti He.
*📚( غنیہ المستملی شرح منیۃ المصلی فصل فی الجنائز سہیل اکیڈمی لاہور ص ۵۹۴)*

Yahañ Ek Nuqta Or He Jis Se Aurtoñ Ki Qismeñ Banane, Unke Salah W Fasaad Par Nazar Karne Ki Koi Ma'ana Hi Nahiñ Rahe, Or Qat'an Hukm Sabko Aam Ho Jata He Agarche Kaisi Saliha Paarsa Ho. Fitna Wahi Nahiñ Ki Aurat Ke Dilse Paida Ho Vo Bhi He Or Sakht Tar He Jiska Fussaq Se Aurat Par Andhesha Ho.

In Tamam Mubaahise Jaleela Se Bihamdillahi Ta'ala Ek Jaleel W Daqeeq Taufiqe Aneeq Zaahir Hui, Aam Mujazaine Nafs Ziyarate Qabr Likhte Hai Ki Uski Ijazat Aurtoñ Ko Bhi Hui, Ziyarate Quboor Ke Liye Khuruje Nisa Nahiñ Kahte Aam Kutub Me Isi Qadar He Or Manieene Ziyaarate Qabr Ke Liye Aurtoñ Ke Jane Ko Mana'a Farmate Hai, Walihaza Khurooj Ilal Masjid Ki Mumaneat Se Sanad Laate Hai, Or Unke Khurooj Me Khaufe Fitna Se Istedalaal Farmate Hai. Tamaam Nusoos K Hamne Zikr Kiye Usi Taraf Jaate Hai, To Agar Qabar Ghar Me Ho Ya Aurat Maslan Haj Ya Kisi Safare Jaaiz Ko Gai Raah Me Koi Qabar Mili Uski Ziyaarat Karli Basharteki Juz'a W Fuz'a W Tajdeede Hizno Bakaar W Noha W Ifraato Tafreet Adab Wagairah Munkiraate Sharaiyyah Se Khaali Ho...
*📚Makhuz Az: (Fatawa Razviya Mutarjim, J-9, Mas'ala-181)*

Or Huzur Tajushshariya Alaihir Rahma Se Parde Me Mazaarat Par Hazri Ke Muta'alliq Sawal Ke Jawab Me Farmate Hai,
Asl Hukm Yahi He Ki Aurtoñ Ko Bezaroorate Sharaiyyah Ghar Se Nikalne Ki Ijaazat Nahiñ He. Isi Liye Aurteñ Jumauh W Eidain Or Jama'at Ki Haazri Se Mustadna Rakhi Gai Hai, Halaañ Ki Pahle Islam Me Aurtoñ Par Masjid Ki Hazri Lazim Thi Or Huzur Alaihis Salam Ke Pichhe Aurteñ Namaz Padhti Thi Or Eidain Me Haazir Hoti Thi, Or Jo Haiz Wali Hoti Thi Vo Eidgaah Se Door Nabi Alaihis Salam Ka Wa'az Sunne Ke Liye Bethti Thi Aurtoñ Ko Ye Hukum Tha Lekin Uske Baad Ye Ahkaam Badal Gaye Or Aurtoñ Ko Jumuah W Eidain Or Masjid Ki Haazri Se Mustadna Rakha Gaya Isi Me Mazaarat Ki Haazri Isse Bhi Aurteñ Mustadna He Unko Hukum Nahiñ He Ki Mazaarat Par Jayeñ..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓21 Sep 2022, 23 Safar 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts