Bagair Wuzu Fatiha Padhna Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum 

Bina Wazu Ka Fatiha Padhna Kaisa Agar Pani Pass Mein Na Ho To Kabristan Main Kahin Pani Na Ho ....

*🌹JAWAB:-🌹*
Fatiha Karne Ke Liye Wuzu Shart Nahiñ, Lekin Wuzu Kar Lena Afzal W Mustahab He.. Kyuñ Ki Fatiha Me Qura'an Shareef Ki Tilawat Ki Jaati He Agarche Bagair Wuzu Qura'an Shareef Ki Tilawat Kar Sakte Hai Lekin Wuzu Kar Lena Mustahab He.. Or Paani Samne Hona Na Hona Fatiha Me Shart Nahiñ, Fatiha Ho Jayega...

Jaisa Ki Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahma Taherir Farmate Hai,
Zabani Qura'ane Azeem Padhne Ke Liye Or Hadees Or Ilme Deen Padhne Padhane Ke Liye Wuzu Karna Mustahab He.
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Wuzu Ke Mutafarriq Masaail, Mas'ala-54)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️29 Sep 2022, 2 Rabi Ul Awwal 1444*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?*

 *Jacket Ke Button Ya Chain Khol Kar Namaz Parhna Kesa ?* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ Jacket Ki Chain K...

Popular Posts