Jisse Udhar (Qarz) Liya Vo Fot Ho Jaye To Adaygi Kis Tarah Kare ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum Hazrat Zaid Ne Uske Karibi Dost Se Kuchh Thode Paise Liye The  Jab Bhi Zaid Paise Ki Baat Karta Uska Dost Turant Baat Taal Deta Kaafi Saal Ho Gae. Ab Uska Karibi Dost Faut Ho Gaya.. To Ab Zaid Ke Liye Is Mamle Mein Kiya Hukm He.. Jawaab Inaayat Farmae...

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Agar Qarz Dene Wala Inteqal Kar Gaya To Uske Wariseen Ko Qarz Wapas Kar Deñ Qarz Ada Ho Jayega Or Agar Wariseen Bhi Na Ho To Jitna Qarz Liya He Uske Naam Se Sawab Milne Ki Niyyat Se Sadqa Kardeñ Bari Uz Zimma Ho Jayega..
Aysa Hi *📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-201)* Par He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️18 Nov 2022, 22 Rabi Us Saani 1444*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts