Trimmer Se Zere Naaf Ke Baal Dur Karna Kesa?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Zere Naaf Ke Baal Kya Mardo Aurat Trimmer Se Remove Kar Sakte H Ya Unka Mukammal Hatana Zaruri H ?

*🌹JAWAB:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Jaaiz He, Ki Asl Maqsud Us Jagah Ko Saaf Suthra Rakhna He Jo Trimmer Se Bhi Haasil Magar Mundne Me Zyada Safaai He, Lihaza Mardoñ Ke Liye Bahetar Mundna He, Aur Zan Yaani Aurtoñ Ke Liye Ukhedna Jab Ki Qudrat Ho...

Chunanche Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Zere Naaf Ke Baal Safaai Ke Ta'alluq Se Ek Sawal Ke Jawab Me Farmate He,

Halq W Qasr W Natf Yaani Mundna, Katarna, Ukhedna, Nora (Chuna Wagairah) Lagana Sab Soorteñ Jaaiz Hai Ki Maqsood Us Mauzu'a Ka Paak Karna He Or Vo Sab Tareeqoñ Me Haasil... 

Magar Halq (Mundna) Mard Me Ba Nisbat Qasr W Natf W Nora Lagana (Yaani Katarna Or Ukhedna Or Dawai Cream Wagairah Lagane) Ke Afzal He. Ki Ahaadise Khisaal W Aamma Kutube Fiqh Me Is Khaslat Ka Zikr Ba-Lafz Halq W Istehdaad Wagairah..

قال النووی والافضل فیہ الحلق ویجوز بالقص والنتف والنورۃ
Imam Nawwi Ne Farmaya Ki Zere Naaf Baal Hatane Ke Liye Zyada Bahetar Amal Mundna He Albatta Katarna, Ukhedna Or Chuna Wagairah Lagana Bhi Jaaiz He. 

وفی الفتاوٰی الھندیۃ الافضل ان یقلم اظفارہ ویحلق عانتہ [2] انتھی مختصر۔
Fatawa Aalamgiri Me He Ki Bahetar Ye He Ki Nakhun Kaate Jayeñ Or Zere Naaf Baal Munde Jaayeñ..

Or Aurat Ke Kiye Ba'az Aulma Ne,
Natf (Ukhadna), Halq (Mundna) Se Afzal Qaraar Diya Or Ba'az Aulma Ne Bil-aqs.
Mulla Ali Qaari Mirqaat Me Pahla Mazhab Ikhtiyar Karte Hai. 

Or Hadeese Saheehain Me Warid,
:حتی تستحد المغیبۃ 
(Yahañ Tak Ki Zere Naaf Baal Saaf Kare) Ash'atul Lam'aat Me Allama Turpashti Se Naql Kiya Yahañ Istehdaad Se Baal Dur Karna Murad He Na Ki Khaas Istemal. 

Qudsi Ibne Arbi Muhaakama Karte Hai Ki Naujawan Aurat Ko Ehteraaz Munasib Or Umar Raseedah Ko Muzrat Nahiñ.. Or Natf (Ukhedna) Ayyame Za'af Me Baaise Astar Khaye Farj To Miyana Ko Isse Bachna Zaiba Or Naujawan Me Bawajhe Shubaab Quwwat Par Ehtemaal Nahiñ..
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-22, Mas'ala-213)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab.
*_✍🏻Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️11 Jan 2023, 18 Jamadil Aakhir 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?

 *Qurbani Ke Liye Afzal Din Konsa He?* *🌹SAWAL:-🌹* Hazrat Ki Bargah Me Swal Hai Ki Qurbani Kis Din Krana Zyada Afzal Aur Bhtr Hai

Popular Posts