*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aurteñ Ba Jama'at Tarawih Padh Sakti Hai Jabki Haafiza Aurat Parhaye Jis Tarah Mardoñ Ki Tarawih Hoti He ?
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Aurat Ka Jama'at Ka Karna Ya Aurat Ka Auratoñ Ki Imamat Karwana Makroohe Tahrimi Or Najaaizo Gunah He Khwah Vo Faraaiz Ho Ya Nawaafil Ya Tarawih,
Allama Burhanuddin Ali Bin Abu Bakar Marghinaani Rahematullah Alaihi Taherir Farmate Hai,
"و يکره للنساء أن يصلين وحدهن الجماعة"
Or Auratoñ Ke Liye Akele (Mardoñ Ke Bagair) Jama'at Ke Sath Namaz Parhna Makrooh He.
*📚(الهداية، جلد 1 صفحہ 125، مکتبہ رحمانیہ لاہور)*
Allama Abu Bakar Bin Ali Haddad Rahematullah Alaihi Taherir Farmate Hai,
"(یکرہ للنساء ان یصلین وحدھن جماعۃ ) یعنی بغیر رجال، و سواء فی ذلک الفرائض و النوافل و التراویح
Yaani Akele Aurtoñ Ka Jama'at Ke Sath Namaz Padhna Makrooh He Yaani Mardoñ Ke Bagair Or Ye Hukm Faraaiz, Nawaafil Or Tarawih Sab Me Barabar He.
*📚(الجوھرۃ النیرۃ، جلد 1، صفحہ 162، مکتبہ رحمانیہ لاہور)*
Or Allama Kamaluddin Muhammad Bin Abdul Wahid Al-Ma'aroof Ibne Humam Rahematullah Alaihi Taherir Farmate Hai,
"(یکرہ للنساء ان یصلین جماعۃ لانھن فی ذلک لا یخلون عن ارتکاب محرم ) ای مکروہ لان امامتھن اما ان تتقدم علی القوم او تقف وسطھن، و فی الاول زیادۃ الکشف و ھی مکروھۃ، و فی الثانی ترک الامام مقامہ و ھو مکروہ و الجماعۃ سنۃ و ترک ما ھو سنۃ اولی من ارتکاب مکروہ‘‘
Yaani Akeli Aurtoñ Ke Liye Jama'at Ke Sath Namaz Padhna Makrooh He Is Liye Ki Is Soorat Me Aurteñ Haram (Makroohe Tahreemi) Ke Irtekaab Se Khali Na Hoñgi Kyuñ Ki Unki Imam Tamam Aurtoñ Ke Aage Hogi Ya Unke Saf Ke Darmiyan Me Khadi Hogi, Pahli Me To Be Pardagi Ki Zyadati He Or Ye Makrooh He Or Dusri Soorat Me Imam Ka Apni Jagah Ko Chhorna He Or Ye Bhi Makrooh He Or Jama'at Sunnat He Or Makrooh Ka Irtekab Karne Ke Bajaye Sunnat Ko Chhor Dena Awla (Bahetar) He..
*📚(فتح القدیر، جلد 1، صفحہ 362، مکتبہ رشیدیہ کوئٹہ)*
Or Huzur Sadrushshariyah Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate Hai,
Aurat Ko Mutlaqan Imam Hona Makroohe Tahreemi He, Faraaiz Hoñ Ya Nawaafil Phir Bhi Agar Aurat Aurtoñ Ki Imamat Kare, To Imam Aage Na Ho Balki Beech Me Khari Ho Or Aage Hogi Jab Bhi Namaz Faasid Na Hogi.
*📚(Bahare Shariyat, H-3, Imamat Ka Bayan, Mas'ala-47)*
Isi Tarah Mufti Akhtar Husain Alimi Sahab Taherir Farmate Hai,
Aurtoñ Ka Namaze Tarawih Ya Kisi Namaz Ke Liye Jama'at Karna Makroohe Tahreemi Or Najaaiz W Gunah He..
*📚(Fatawa Amiliya, J-1, S-218)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓28 March 2023, 5 Ramzanul Mubarak 1444*
📲+
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment