*🌹SAWAL:-🌹*
السلام علیکم
-
Hazrat Suwal Ye Hai Ke
-
Ek Committee Hai Jisme Sub Maldar Log Apna Aur Dusro Ka Zakat Ka Paisa Jama Karte Hai Aur Fir Us Jama Kiye Huwe Paise Ko Pura Saal Use Istemal Karte Hai...
-
Ye Paise Ko Gareb Logo Ko Business Karne Ke Liye Bina Biyaj Ke Loan Dete Hai
-
Aur Loan Ka Paisa Aajane K Baad Duaro Eai Tarah Zakat Ke Paise Ko Ghumate Hai
-
Committee Me Zakat Dena Kaisa, Aur Jo Ye Committee Chalate Hai Un Par Kya Hukm Hoga
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Ye Tareeqah Galat He.. Is Liye Ki Zakat Ki Adayegi Ke Liye Shart Ye He Ki Jo Zaroorat Mand He Use Zakat Ke Maal Ka Malik Bana Diya Jaye.. Or Ye Jo Soorat He Usme Zakat Ke Paisoñ Ko Ek Jagah Jama'a Kiya Jata He, Phir Agarche Usko Bagair Byaj (Sood) Ke Qarz Ke Taur Par Diya Jata He... Or Zakat Ke Andar Shart Ye He Ki Jisko Bhi Di Jaye Use Maalik Bana Diya Jaye, Tab Zakaat Ada Hogi..
Is Tarah Ki Comety Me Zakat Ka Paisa Dena Jaaiz Nahiñ, Is Liye Ki Zakat Ada Nahiñ Hogi... Albatta Aasani Ke Liye Agar Banaya Gaya Tab Bhi Zakaat Us Waqt Ada Hogi Jab Zaroorat Mand, Hajat Mand Ko Uska Malik Bana Diya Jaye...
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_🎙️Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi_*
*📬Masjide Hazrat Bilaal, Nadiyad Gujarat*
*🗓️27 March 2023, 4 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment