*🌹SAWAL:-🌹*
Har Namaz Ke Baad Aaqa E Qaainat Muhammad Mustafa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Bargah Mein Salam Pesh Karna Kaisa Hai ?
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Namaz Ke Baad Huzure Akram ﷺ Par Salam Pesh Karna Bila Shubah Jaaiz, Mustahsan Kaare Khair Or Sa'aadat Mand Amal He...
Irshade Baari Ta'ala He,
اِنَّ اللّٰہَ وَ مَلٰٓئِکَتَہٗ یُصَلُّوۡنَ عَلَی النَّبِیِّ ؕ یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا صَلُّوۡا عَلَیۡہِ وَ سَلِّمُوۡا تَسۡلِیۡمًا
Beshak Allah Or Uske Farishte Durood Bhejte Hai Us Gaib Batane Waale (Nabi) Par, Ay Imaan Waaloñ Tum Bhi Un Par Durood Or Khub Khub Salam Bhejo..
*📚(Surah Ahzaab, Aayat-56)*
Is Aayate Mubaraka Me Aam Taur Par Bagair Kisi Qaid Ke Salaato Salam Ka Hukm Diya Gaya To Ye Aayate Mubaraka Apne Umoom W Itlaaq Ke Sabab Salato Salam Ki Tamam Soortoñ Or Hai'atoñ Ke Liye Daleel He Jab Tak Shara'a Se Kisi Khas Hay'at Ya Shakl Par Mumane'at Na Ho... Lihaza Namaz Ke Baad Huzur ﷺ Par Salaam Bhejna Qura'an Paak Ki Ita'at Or Apni Bakhshish Ka Zariya, Baaise Ajro Sawab He, Or Imaan Ahle Imaan Ka Hissa He..
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️2 Apr 2023, 10 Ramzanul Mubarak 1444*
📲+91
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment