*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamu Alaikum
Hazrat Sawal H K Kisi Aurat Ko Haiz Kbhi 5 Din To Kbhi 6 Din Ata H Is baar 5ve Din Usko Nai Aya Wo Pak Ho Gai Rat Ko Shohar Se Mili Subah Sehri Me Bhi Nai Aya Lekin Din Me Use Fir Aa Gaya Aur Sham Ko Fir Wo Pak Hui Puchna Ye H Hazrat K Miya Biwi Ne Jo Jima Kiya Uska Kya Hukm Hoga Kya Wo Gunahgar Honge ? Rahnumayi Farmaye Hazrat
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Bahare Shariyat Me He,
Aadat Ke Din Pure Hone Se Pahle Hi (Haiz) Khatm Ho Gaya To Agarche Gusl Karle Jima'a Najaaiz He Tawaqteeka Aadat Ke Din Pure Na Ho Leñ, Jaise Kisi Ki Aadat 6 Din Ki Thi Or Is Martaba 5 Hi Roz Aaya To Use Hukm He Ki Naha Kar Namaz Shuru'a Karde Magar Jima'a Ke Liye Ek Din Or Intezar Karna Wajib He.
*📚(Bahare Shariyat, H-2, Haiz W Nifaas Ke Muta'alliq Ahkaam, Mas'ala-38)*
Bahare Shariyat Ke Is Hukm Ke Mutabiq Is Tarah Se Karne Wala Gunahgar Hoga, Taubah Kare... Or Hadees Shareef Me Aaqa E Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki Jis Shakhs Ne Apni Biwi Se Haiz Ki Halat Me Jima'a Kiya To Vo Nisf Dinaar Sadqa Kare Or Nisf Dinaar Ki Taqriban 2 Ya Sawa 2 Gram Sona Ya Uski Qeemat Hoti He.
Wallahu Ta'ala Aa'alam Bis-Sawab
*_🎙 Al-Jawab:- Hazrat Allama Mufti Taufiq Raza Sahab Misbahi_*
*📬Tadriso Ifta Darul Uloom Qadriyah Razviyah, Petlad*
*🗓️13 Apr 2023, 21 Ramzanul Mubarak 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment