Aysi Watch Jis Par Gumbad Wagairah Bana Ho Use Pahan Kar Toilet Me Jana Kesa ?

 *🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum
Aaj Kal Market Me Ek Asi Watch Nikli Hai Jisme Ala Hazrat Imam E Ahle Sunnat Ashah Imam Ahmed Raza Khan K Gumbad Mubarak Ki Tasveer Hoti Hai To Kya Ye Watch Pehen Kar Pakhane Me Ja Sakte Hai??islaah Kare Agr By Mistake Le Gaye To Kya Hukm Hai??

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Is Tarah Ki Ghari (Watch) Pahan Kar Baytul Khala (Toilet) Me Jana Jisme Naqsh Mubarak Bana Ho, Auliya E Kiram Ke Gumbad Ki Tasweer Bani Ho Be Adbi He... Baytul Khala Me Jate Waqt Is Tarah Ke Naqsh Wali Watch Ko Utar Kar Jaye, Iska Hukm Isi Tarah He Jis Tarah Baytul Khala Me Nalain Shareef Ha Muqaddas Mazarat Ki Tasweer Bani Hui Topi Pahan Kar Jana He 

Jaisa Ki Huzur Faqihe Millat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Fatmate Hai,
Nalain Shareef Wagairah Ko Topi Me Laga Kar Istenja Khana Wagairah Me Hargiz Na Jaye Ki Be Adbi He.

Muhaqqiqe Alal Itlaq Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelwi Radiallahu Anhu Taherir Fatmate Hai,
Baytul Khala Me Dakhil Hone Wale Ko Chahiye Ki Aysi Cheez Ko Jis Me Khuda Or Rasool Ka Naam Likha Ho Ya Qura'an Ka Koi Kalma Ho To Apne Hamraah Na Le Jaye Or Ba'az Shuru'a Me Kaha Gaya Ki Ye Hukm Tamam Ambiya E Kiram Ke Isma'a Ko Bhi Shamil He.
*📚(Ash'atul Lam'aat, J-1, S-201)*

Or Jis Tarah Nalain Shareef Ki Ta'azeem Lazim He Usi Tarah Uske Nuqoosh Ki Ta'azeem Bhi Zaroori He Kyuñ Ki Ta'azeem W Tauheen Ke Silsila Me Jo Hukm Asl Ka He Wahi Hukm Nuqoosh Ka He.

Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Muhaddise Barailvy Radiallahu Anhu Taherir Fatmate Hai Ki,
Aulma E Deen Ne Naqshe Ka Aezazo izaam  Wahi Rakha He Jo Asl Ka Rakhte Hai.
*📚(Fatawa Razviya, Jild Nuham Nisf Awwal, Safha-150)*
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-1, S-182)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🗓️5 May 2023, 14 Shawwal Ul Mukarram 1444*
📲+918487928693
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

No comments:

Post a Comment

NEW POST

Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm

 *Jab Se Balig Hua Be Ilmi Me Sahih Tarah Se Gusl Na Kiya Sirf Nahaya Ho Aysi Soorat Me Padhi Gai Namazoñ Ka Hukm* *🌹SAWAL:-🌹* اَلسَلامُ ع...

Popular Posts