*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum Hazrat, Hazrat Zaid Ne 4 Rakat Farz Namaz Me Tisri Rakat Me Bhi Surah Fatiha Ke Baad Koi Surah Padh Liya Fir Ruko Me Usko Yaad Aaya To Zaid Ne Sazda E Saw Kiya.??
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Farz Ki Pichhli Rak'atoñ Me Bhi Agar Kisi Ne Surh E Fatiha Ke Sath Soorat Milai Chahe Bhul Kar Ya Qasdan Namaz Ho Jaaegi, Albatta Imam Ko Aysa Nahi Karna Chahiye,, Our Sajda E Sahw Ki Bhi Zaroorat Nahi...
Bahare Shariyat Me He,
Farz Ki Pichhli Rak'atoñ Me Soorat Milaai To Sajda E Sahw Nahiñ Or Qasdan Milaai Jab Bhi Harj Nahiñ Magar Imaam Ko Na Chahiye Yuñhi Agar Pichhli Me Alhamd Na Parhi Jab Bhi Sajda E Sahw Nahiñ Or Ruku'a W Sujood W Qa'ada Me Qur'aan Parha To Sajda E Sahw Wahib He.
*📚(Bahare Shariyat, H-4, Sajda E Sahw Ka Bayan, Mas'ala-17)*
Wallahu Ta'ala Aa'alam
*✍🏻Hazrat Allama Mufti Qasim Raza Sahab Misbahi*
*📬Masjide Hazrate Bilal, Nadiyad*
*🗓️12 May 2023, 22 Shawwal Ul Mukarram 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+9
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment