*🌹SAWAL:-🌹*
اَلسَلامُ عَلَيْكُم وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Kya Farmate Hai Aulma E Kiram Is Mas'ala Me Ki Halal Janwar Me Kitni Cheezeñ Khana Haram Hai Or Vo Kon Kon Si Hai Bara E Karam Tasalli Bakhsh Jawab Inayat Farmayeñ..
*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Fatawa Razviya Shareef Me Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Ne Tahreer Farmaya,
Halal Janwar Ke Sab Ajzaa Halal Hai Magar Ba'az K Haram Ya Mamnoo'a Ya Makrooh Hai..
1. Ragoñ Ka Khoon
2. Pitta
3. Phukna
4-5. Alamate Mada W Nar
6. Bize
7. Gudood
8. Haram Magaz
9. Gardan Ke Do Paththe Ki Shanoñ Tak Khinche Hote Hai
10. Jigar Ka Khoon
11. Tilli Ka Khoon
12. Gosht Ka Khoon Ki Baad Zabah Gosht Me Se Lakhlta He.
13. Dil Ka Khoon
14. Pit Yaani Vo Zard Paani Ki Pitte Me Hota He.
15. Naak Ki Ratoobat Ki Bher Me Aksar Hoti He
16. Pakhana Ka Makam
17. Ojhri
18. Aanteñ
19. Nutfa
20. Vo Nutfa Ki Khoon Ho Gaya.
21. Vo Gosht Ki Gosht Ka Lothara Ho Gaya.
*📚(Fatawa Razviya Mutarjim, J-20, S-240)*
*🎙️Al-Jawab: Hazrat Allama Mufti Muzzammil Barkati Sahab Qibla*
*📬Baani Sadrushshariyah Academy W Sadrul Mudarriseen W Mufti Darul Uloom Anware Madina Khambhaliya, Gujarat*
*🗓️6 June 2023, 16 Zul Qa'ada 1444*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
📲+91
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
No comments:
Post a Comment